Hyderabad : Hukoomat Telangana ki janib se awam ki Falah behbood ke liye ki ek schemes shuru ki gayi hain jis mein Double Bed Room ke makanaat aur mehloun mein aasaan aur sastay ilaaj ke liye bastii dawakhane qabil-e-zikar hain aur ab yeh khabar bhi itminan bakhash hai ke Greater Hyderabad Municipal Copration ( GHMC ) ne mansoobah tayyar karliya hai double bed room complex bastii Dawakhano ke intizamaa bhi kiye jayenge aur yeh GHMC hudood mein dastyab rahenge .
Double bed room complex ke hudood mein bastii Dawakhano ki sahuliyaat faraham karne ke darparda asal maqasid awam ko sasta aur inhen ke maqam par behtar ilaaj faraham karna hai. is waqt hyderabad, Rangareddy aur Mechal azlaa mein 96 bastii dawa khanaay awam ke liye apni tibbi khidmaat faraham kar rahay hain jabkay GHMC ki janib se ek laakh double bed room ke units taamer kiye gaye hain. Daren-e-asna GHMC ke commissionaire M.Dana Kishore ne Vanasthalipuram ke nazdik Rythu bazaar ke paas 324 double bed room units ka muaina kiya jo ke 28 crore rupiyon ke masarif se tayyar kiye gaye hain aur is mauqa par unhon ne kaha ke double bed room ke Complex ke nazd bastii dawakhane ka qiyam bhi amal mein laya jayega taakay un makanaat mein anqareeb abad honay walay awam ko apne hi muhallay mein tibbi khidmaat haasil ho sakay. alawa azeen unhon ne yeh bhi kaha hai ke mukhtalif maqamat par double bed room ke makanaat ki tamirati kaam taizi ke sath paye takmeel ko poanch rahay hain .- YTN STAFF