Slider

Dominic Thiem US Open Champion, 71 saal mein naya Record

By News Desk Roman Urdu

September 14, 2020

New York: Austria ke Dominic Thiem ney US Open mein Germany ke Alexander Zverev ke khilaaf ibtidayi 2 set gunwanay aur faisla kun set mein 3-5 se peechay rehne ke bawajood zabardast wapsi karte hue 2-6, 4-6, 6- 4, 6. 3, 7. 6 shikast day kar saal ke aakhri Grand Slam US Open ka naye King ka aizaz haasil karliya. Austria ke naamwar tennis star aur Mega Events ke Second set Dominic Thiem ney pehli martaba US Open tennis Tournament jeet liya. Unhoun ney Mans singles final mein Germany ke Alexander Zverev ko shikast day kar apne career ka pehla Grand Slam khitaab apne naam kiya. America mein USTA Cat Jane King National Tennis Center mein khailay gaye Mega Event ke Mans singles final match mein Austria ke second set Dominic Thiem ney asaab shikan muqablay ke baad 23 sala German hareef khiladi Alexander Zverev shikast di.

Dominic Thiem nay ibtidayi 2 sets mein German khiladi ke khilaaf shikast ke bawajood aglay sets mein kamyabi haasil ki. Dominic Thiem ki kamyabi ka score 2-6, 4-6, 6-4, 6-3 aur 7-6 ( 8-6 ) tha. Dominic aur Zverev dono ke darmain final match 4 ghantay aur 2 minutes tak jari raha. Thiem nay is kamyabi ke baad apne tennis career ka pehla Grand Slam khitaab bhi apne naam karliya. Is se qabal 27 sala faateh khilari Thiem nay 2018 aur 2019 ke French open ka final aur rawan saal ke pehlay Grand Slam Australian open ka final bhi khail chuke hain taham is mein un ko kamyabi hasil nahi huvi.

World number 3 Dominic Thiem Austria se pehlay khiladi hain jinhon ny US Open singles ka aizaz haasil kiya. Yeh un ka pehla Grand Slam khitaab hai. Unhoun ny ek sansani khaiz final mein Germany ke Alexander Zverev ko shikast di. 71 saal baad US Open ke final mein pehlay 2 set harnay ke baad ek khiladi ny khitaab apne naam kiya. Is se qabal P Cuevas ny 1949 mein yeh karnaama anjaam diya tha. Fateh ka faisla pehli baar Tie breaker ke zariye kiya gaya tha. 27 sala Thiem saal mein Grand Slam Tournament jeetnay walay pehlay ghair maroof khiladi hain. Is se pehlay is se pehlay 2014 mein Marin Čilić ne yeh karnaama kiya tha.