Slider

Djokovic na ahal qarar deye jane ke baad US open se baher

By News Desk Roman Urdu

September 07, 2020

New York: Aalmi number ek sarbihayi Tennis Star Novak Djokovic ka US open 2020 ka safar heran kun andaaz mein ekhtataam pazeer huwa jisakeh inhen is Tournament mein shirkat ke liye na ahal qarar diya gaya. Djokovic ko is waqt US open se sansani khaiz tor par na ahal kardiya gaya jab unhoun nay ek line ohdedar ko gaind mardi.

Yeh waqea is waqt pesh aaya jab Djokovic Spain ke hareef khiladi Pablo Carreno Busta ke khilaaf chouthay round ka muqaabla khail rahay they aur woh is muqablay mein apne hareef se 5-6 se peechay they aur is douran unhoun Ball line Umpire ko maari. Jaisay hi Ball line umpire ko lagi foran Djokovic inhen dekhnay khatoon Umpire ke qareeb puhanche aur kuch minute ke baad wo uthi aur maidan se baher chali gayi. Is ke baad Tournament ke Referee se taqreeban 10 minute ki guftagu ke baad Umpire ne elaan kiya ke Pablo Carreno Busta is muqablay ke faateh hain aur Djokovic ko Tournament ke leye nayehel qarar de deya gaya.

Is terhan Tournament se baher honay ke baad maidan se rukhsati se pehlay Djokovic nay Pablo Carreno Busta se musafah kiya. Tournament mein na ahal qaraar deye jaaney walay khiladion ki fehrist mein Djokovic ka teesra naam darj hochuka hai kyunkay is se qabal 1990 mein Australian Open mein John McEnroe aur 2000 mein French Open mein Stephen Quebec bhi mardon Grand Slam ki tareekh mein mard singles muqablon mein na ahal hokar Tournament se baher ho chukay hain.

Djokovic ka istarah Tournament se baher hona aalmi number ek khiladi ke liye mayoos kun hai kyunkay woh yahan apna 18 wahn Grand Slam khitaab haasil kar saktay they jis ki ahem wajah 2020 mein inka honoz na qabil-e-shikast muaqqaf aur Tournament mein Rafael Nadal, Roger Federer jaisay katter hareef khiladion ki adam mojoodgi hai.

Djokovic 17, Nadal 19 aur Federer 20 Grand Slam ke sath sab se ziyada Grand Slam jeetay walay sare fehrist teen khiladi hain. Yaad rahay ke Coronavirus ki waba se America sab se ziyada mutasirah mulk hai aur isi wajah se Season ke aakhri Grand Slam US open mein kayi khiladion ne bemari ke khadshaat ki wajah se Tournament se dast bardari ikhtiyar ki hai.