Latest News

Disha esmatraizi ke mulzimen Encounter mein halaak

By News Desk Roman Urdu

December 06, 2019

Hyderabad: Hyderabad mein khatoon Veterinary Dr.. ke sath darindgi karne walay charoun mulzimen Encounter mein halaak hogaye hain kyun kay police ke sath tassadum ohdedaroun ne inhen mardeya hai. Telangana Police ka daawa hai ke un charoun mulzimen ko National highway 44 par crime scene ko samajhne ke liye liye gaya tha. Is douran mulzimen ne Police hirasat se bhagnay ki koshish ki. Is koshish ko dekhte hue Police ne un par golian chala den. Is tassadum mein charoun mulzimen ki mauqa par hi mout ho gayi.

Un sabhi mulzimen ko adalat ne Police remand par bheja tha. Waardaat ki jaanch ke douran Police un charoun mulzimen ko isi flyover ke neechay le gayi thi jahan unhoun ne mutasirah khatoon ko nazar-e-aatish kiya tha. Yahan par crime scene ko dobarah banaya ja rahatha. Isi douran kuhar ka faida uthatay hue mulzimen ne bhagnay ki koshish ki. Police ne jab ye dekha to unhoun ne inhen roknay ke liye golian chalayein jis mein un sabhi mulzimen ki mout ho gayi. Mulzimen ke Police tassadum mein maaray janay ki tasdeeq Police commissioner ne ki hai.

Qabil zikar hai ke Hyderabad esmatdarri aur qatal waqea ne pooray mulk ko jhanjhod kar rakh diya tha. Sadak se le kar parliament tak mulzimein ko jald se jald saza dainay ka mutalba kiya ja raha tha. Kayi loog mulzimein ko phansi par chadhanay ki baat keh rahay they. Markazi wazeer difaa Rajnath Singh ne bhi parliament mein kaha ke is terhan ke waqeat ko roknay ke liye hukoomat sakht qanoon bananay ke liye tayyar hai.

Police Encounter ki khabar milnay ke baad zulm ki shikaar khatoon veteriniry Dr. ke waalid ne police aur hukoomat ka shukriya ada kiya hai. Unhoun ne kaha ke meri beti ko maray hue 10 din guzar chuke hain. Mein police aur hukoomat ka shukar guzaar hon ke unhoun ne sahih qadam uthaya. Meri beti ki rooh ko ab sukoon mila hoga. Wazeh rahay ke esmatdarri aur qatal waqea ke charoun mulzimen ne Hyderabad ke shadnagar mein veterinary Dr. ke sath madad ke bahanay pehlay ijtimai esmatraizi ki aur phir is par tail chhedakh kar jala diya tha. Police ko aglay din mutasirah ka jala huwa jism flyover ke neechay mila tha. Bataya jata hai ke khatoon Dr. ka jism nisf se ziyada jal chuka tha.

Jummay ki subah disha esmatraizi ke mulzimen ke Police Encounter mein maaray janay ki khabar jungle ke aag ki terhan phail gayi aur dekhte hi dekhte ye khabar social media par viral hogayi. Ibtida mein kayi afraad ne is khabar ko farzi khabar aur farzi Encounter tak ke diya lekin waqt ke guzarnay ke sath sath ye khabar aam honay lagi lekin ab Encounter ki tafseelaat jannay mein awam ki dilchaspi naqta urooj par hai. –YTN STAFF