Hyderabad

Dimaghi tor par murda shakhs ne 8 afraad ko nai zindagi di

By News Desk Roman Urdu

September 16, 2020

Hyderabad: Ek 36 sala Bank Manager Kanmori Sita Ram Raju ke khandan ke afraad jinhen Global Hospital Lakdikapul mein Neurologists ney ittila di ke un ka aziz jo sadak haadsay mein sar par gehray zakhamo ki wajah se dimaghi tor par murda qarar diya ja chuka is shakhs ne riyasat ke tehat chalaye janey walay Jeevan Dan aaza atiyah iqdaam ke tehat marnay walay ke aaza ka atiyah kiya hai jis se deegar 8 zindaganian bachaai jaski hain.

Hyderabad Traffic police ny Global Hospital lakdikapole se Care Hospital Banjra Hills taq 3.6 kilo maters ka ek fori amad-o-raft ke liye Green Channel faraham kiya jo raat ke 9.32 se 9.36 bajey ke darmain 4 minute mein tey kiya gaya tha.

Ohdedaron ny kaha ke Hyderabad Traffic Police ny 6.7 kilo Meter ke faaslay par Global Hospitals se KIMS Hospital Secunderabad mein barah-e-raast jigar pohanchanay ke liye Green Channel bhi faraham kiya aur yeh faasla raat 9.47 se 9.53 ke darmain sirf 6 minute mein tey kiya gaya taakay dimaghi tor par murda qarar diye jaaney walay shakhs ka jigar dosray shaks tak pohanjaya jasake.

Yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke jummay 11 September ko Maharashtra ke Union Bank solapur mein Bank Manager Kanmori Sita Ram Raju ek Taxi mein wapas Hyderabad aarahay they. sah pehar dhai bajay ke qareeb Solapur shehar ke nawahi ilaqay mein Taxi ko ek Truck ney takkar mardi. Haadsay ke baad Bank mulazim ko fori tor par muqami khangi dawakhane se rujoo kiya gaya aur Emergency ilaaj karwaya gaya. Sahet ki haalat mein koi behtari nahi anay par Kanmori Sita Ram Raju ko itwaar 13 September ki sah pehar 3 bajay ke qareeb Global Hospital lakdikapol muntaqil kardiya gaya.

ICU ilaaj sameit taqreeban 28 ghanton ki ahem nighdasht mein ilaaj ke baad paiir ke roz taqreeban 1.35 bajey, Global Hospital ke Neurologists ne Sita Ram Raju ko sar mein shadeed chout ki wajah se dimaghi murda qarar day diya.

Jeevan Dan Organ Donation Coordinators aur Hospital ke ohdedaron ke zareya Bank mulazim ke lawahiqeen aur deegar rishta daaron ke liye gham consoling seasons ka ek silsila munaqqid kiya gaya jis mein aaza ke atiyah karne par razamandi un ki ahliya Nagha Swetha aur kunba ke deegar afraad ne di. Jeevan Dan Committee ke zareya aaza atiyah ke hadaayat naame ki bunyaad par Doctors ne 2 gurday, 2 kirniya,Jigar, Dil aur 2 pehphdon ( tamam 8 aaza ) ko bazyaft kiya.

Covid-19 ki wabai bemari aur lockdown pabandion ki wajah se riyasat Telangana mein aaza ke atiyah aur pewand kaari ki raftaar mein taizi aagai hai. Jeevan Dan ke ohdedaron ke iqdaam ki badolat haliya dinon mein Transplant marakaz yani Hyderabad ke khangi dawakhanon ne 13 afraad ke aaza ko bazyaft karne aur zaroorat mand mareezon ko hidayat naame ki bunyaad par aaza ki pewand kaari ya tabdeel karne mein kamyabi haasil ki.