Slider

Dhoni ko Delhi ke khilaaf khud ko saabit karne ka mauqa

By News Desk Roman Urdu

September 24, 2020

Dubai: Chennai Super Kings ke Captain MS Dhoni Rajasthan Royals ke khilaaf pichlle match mein shikast ke baad honay wali tanqeed ko khatam karne ke iraday ke sath Delhi Capitlas ke khilaaf jummay ko maidan mein utrain ge. Guzashta match mein Chennai ko Rajasthan ke khilaaf 16 runs se shikast ka saamna karna pada tha jab ke Delhi ki team ne Kings Xi Punjab ko ek super over mein apne pehlay match mein shikast di hai. Yeh Dhoni ki team Chennai ka teesra aur Delhi ke khilaaf dosra match hoga.

Rajasthan ne Chennai ko 217 runs ka himaliyai nishana diya tha jis ke jawab mein Dhoni ki team 20 overs mein 6 wickten gunwanay ke baad 200 runs hi bana saki. Chennai ki 2 matchon mein yeh pehli shikast thi aur points table mein is waqt woh 2 Matche mein ek jeet aur ek shikast ke sath 2 point leker panchwin maqam par hai jabkay Delhi 2 points ke sath chouthay number par hai. Dhoni guzashta match mein satwen number par batting karne aaye thay aur tab tak bohat der hochuki thi aur match Chennai ke haath se nikal gaya tha. Match ke ahem moud par Dhoni ke nichale order mein jane ke faislay par shadeed tanqeed ki gayi aur un ke faislay par sawalaat uthaye gaye thay. Jab Chennai ko Dhoni jaisay tajurbahkar khiladi ki zaroorat thi to Mahi ne khud mahaaz lainay ki bajaye Sam Curran, Ruturaj Gaikwad aur Kedar Jadhav ko agay bhaij diya jo run ko taiz karne mein nakaam rahay. Jab Dhoni maidan mein utre to woh shuru mein ek bhi bada shot nahi khail sakay. Unhoun ne aakhri over mein 3 chhakay zaroor lagaye lekin tab tak muqaabla Chennai ke haath se nikal gaya tha. Dhoni ke un faislon ka khumyaza match harnay ki shakal mein Chennai ko bhughtna pada.

Dhoni jaisay tajurbahkar Captain aur khiladi se is faislay ki tawaqqa nahi ki ja sakti thi. Taham unhoun ne apne faislay ka difaa karte hue kaha ke woh Sam Curran aur Ruturaj Gaikwad jaisay khiladion ko mauqa dena chahtay hain lekin woh is se inkaar nahi kar saktay ke is maqam par Faf du Plessis ko dosray siray se ek aisay khiladi ki zaroorat hai jo match ka tawazun barqarar rakhnay ke qabil ho. Mahi ko ab Delhi ke khilaaf apne naqideen ka jawab dena pade ga. Chennai ke paas Shane Watson, Karn Sharma, Faf du Plessis, Dhoni aur All rounder Ravindra Jadeja jaisay legend khiladi mojood hain jo kisi bhi sorat-e-haal mein match ko phir se modnay ki salahiyat rakhtay hain. Aisi sorat-e-haal mein Delhi ko jeet ki raftaar barqarar rakhni hogi, Inhen Chennai ke dhamaka khaiz batting order se sastay andaaz mein nimatna pade ga, Jabkay Chennai ko apne bowling shoba ko behtar banana hoga jisay Sanju Samson aur Steve Smith ne pichlle match mein mukammal tor par tabahi machadi thi.

Kings Xi Punjab ke khilaaf Delhi ka aaghaz acha nahi tha aur un ki 3 wickten 13 runs par gir gaye theen aur un ki Inning mukammal tor par ta-attul ka shikaar hui. Delhi ki nazrain ek martaba phir Marcus Stoinis par hongi jinhon ne 21 gaindon mein 7 chowkun aur 3 chakkon ki madad se 53 runs banaye thay aur apni team ko 157 runs ki tasalii bakhash haalat mein pohanchaya tha. Stoinis wicket keeper batsman Rishabh Pant aur captain Shreyas Iyer ko chhodh kar Delhi ke Top order Punjab ke khilaaf nakaam saabit hue thay jabkay nichale order batsman bhi karkardagi ka muzahira karne mein nakaam rahay.

Delhi ke liye raahat ki baat yeh hai ke is ke bowlers ne Punjab ke khilaaf kam score ka difaa karte hue team ko achi shuruvaat dilae thi aur darmiyani overs mein mehanga saabit honay ke bawajood Punjab ko 157 runs par rokk diya tha aur match super over tak pohanchaya tha jahan Kagiso Rabada ne apni umdah bowling se Punjab ko 2 se ziyada runs bananay nahi diye.