Slider

Dhoni ka IPL career mayoos kun andaaz mein khatam hojaye ga?

By News Desk Roman Urdu

October 20, 2020

Hyderabad: Hindustani Cricket team ke sab se kamyaab tareen Captain Mahendra Singh Dhoni jinhon ne 15 August 2020 ko Yom-e-Azadi ke mauqa par bain ul aqwami Cricket se achanak subuk doshi ka elaan karte hue apne crordon shaiqeen ko mayoos kiya tha ab lagta hai ke un ka IPL Career bhi mayoos kin andaaz mein khatam hojaye ga.

Indian Premier League ( IPL ) ka 13 wi Addition is waqt Mutahidda Arab Emarat ke 3 maqamat Dubai, Abu Dhabi aur Sharjah mein khela ja raha hai. 13 rawan Tournament ke dosray marhalay Playoff mein rasai haasil karne wali sab se mazboot dawaydaar aur pehlay hi marhalay se baher honay wali pehli team ka andaza lagana mushkil nahi hai kyunkay 8 teams ki saf bandi mein jahan Delhi Capitals 9 muqablon mein 7 fatohat ke sath pehlay maqam par Faiz hai aur uska Playoff mein pohanchna taqreeban tay hai jabkay doosri janib sab se mayoos kun baat Dhoni ki zair qayadat team Chennai Super Kings ki hai jisay IPL 13 ke aaghaz se qabal hi khitaab ki dawaydaar teams main shaamil karliya gaya tha lekin kisi ne bhi nahi socha tha ke is martaba Chennai ki team ka itna bura haal hoga.

Chennai Super Kings 10 muqablon mein shirkat karne ke baad sirf 3 fatohat haasil karpayi hai aur teams ke Table mein woh sab se neechay 8 wi maqam par hai aur shayad IPL ki tareekh mein aisa pehli martaba ho raha hai ke Chennai Super Kings aakhri maqam par ho aur pehlay hi marhalay se is ka ikhraj hojaye. Team ke majmoi muzahirey mayoos kun hi hain lekin khud Mahendra Singh Dhoni ke infiradi muzahirey bhi koi qabil sataish nahi. Wickets ke peechay to Mahi ki phurti mein koi kami deekhayee nahi di lekin wickets ke samnay yani batting mein is martaba Dhoni ka bat kaafi khamosh raha. Dhoni jinhein duniya ka behtareen Finisher mana jata hai woh rawan Tournament mein mutadid martaba team ko kamyabi dilwanay mein nakaam rahay.

Dhoni jo kay har IPL mein taqreeban 400 se ziyada runs score karte rahay hain jaisa ke unhoun ne 2018 mein 455 aur 2019 mein 416 runs score kiye thay aur un dono season mein woh bal tarteeb 16 aur 15 muqablon mein shirkat ki thi lekin 2020 mein unhoun ne 10 muqablon mein shirkat karne ke bawajood sirf 164 runs score karpaye hain. Rawan Tournament mein Dhoni ki sust raftaar batting aur mutadid mawaqay par jab team ko un se muqaabla mein taiz raftaar batting ki umeed thi is waqt match Finisher Dhoni nah sirf taizi se runs bananay mein nakaam rahay balkay apni team ko kamyabi se humkenar bhi nahi karpaye lehaza ab zehnon mein yeh sawal aur bhi gehra hota ja raha hai ke kya ab Dhoni ka IPL career bhi mayoos kun andaaz mein khatam hojaye ga? Az: Hazifha Arqam