India

Delhi Police Headquarters ke qareeb CAA ke khilaaf ehtijaj

By News Desk Roman Urdu

December 21, 2019

New Delhi: Shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ke khilaaf ehtijaj ke chand ghantoun baad, Delhi Gate ke qareeb Central Deputy commissioner of police ke daftar ke samnay jummay ke roz ek pur tashadud ehtijaj huva, Jis mein police par patharwo aur Car ko nazar aatish ki gayi. Delhi police ke mutabiq, Income Tax Office ( ITO ) ke ilaqay mein waqay police headquarters ke bahar 300 ke qareeb muzahireen jama ho gaye aur BJP ki zair qayadat markazi hukoomat ki janib se banaye gaye shehriat tarmeemi act ( CAA ) aur NCR ke khilaaf naaray baazi ki.

Raat ke waqt police headquarter ke bahar honay walay is par tashadud ehtijaj ke baad, Police ne sorat-e-haal par qaboo panay ke liye izafi force ko mutharrak kiya. Sath hi ahteyati iqdaam ke tor par police ne ITO se Laxmi Nagar tak traffic ke rukh ko moud diya. Isi douran, Police ne bataya ke unhoun ne din mein Delhi Gate par huve tashadud ke douran 40 afraad ko hirasat mein liya tha, Is tashadud mein 12 police ahelkaar zakhmi hue they.

Shaam ko phir pathrao shuru huva, Muzahireen ne Jama masjid se Jantar Mantar tak March karne ka iradah kiya tha, Inhein Delhi Gate se kuch daur police ne Barricades ke zareya rokk diya gaya. Hujhoom ne hukoomat aur wazeer-e-Aazam Narendra Modi ke khilaaf naaray baazi ki aur agay bhedne ki koshish ki. Tab police ne hujhoom par pani ki bhuchar kar di. Is douran hujhoom ne Car ko nazar aatish kar diya.

Police zaraye ke mutabiq, Mashriqi Delhi ke Seelampur aur Jaferabad ilaqoun, Jahan is haftay muzahiray ke douran tashadud phoot pada tha, Wahan ke muzahireen is ehtijaj mein shaamil hue. Pehlay unhoun ne police par pathrao kiya aur ek khadi huvi Car ko nazar aatish kar diya. Muzahireen ne DCPMS DCP office ke baher degar kayi gadiyoun ko bhi nuqsaan pohanchaya.

Shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ke khilaaf March karne walay muzahireen shaam ki namaz padhnay ke liye Delhi ki masjid Nabi baksh mein mukhtasir tawaquf kiya. Delhi police hakkaam ke mutabiq, Bahadur Zafar Shah Marg ke paas, Delhi Gate par Security forces ki ek badi tadaad tainaat ki gayi thi aur Jama masjid ki taraf ek kelo meter daur daryaganj Chowk par Barricates lagaye gaye they. –YTN STAFF