India

Delhi ki Jama Masjid apni tareekh dohranay lagi

By News Desk Roman Urdu

January 17, 2020

New Delhi: Hindustan ki tareekh mein dar-ul-hukoomat Delhi ke chand ahem maqamat apni ek allag shanakht rakhtay hain aur un hi tareekhi maqamat mein Delhi ki Jama Masjid bhi hai jis ne Hindustan ki azadi ki jung ke menazar ki shahadat deti hai aur ab wo BJP hukoomat ki awam dushman policies aur kalay qanoon ke khilaaf honay walay ehtijaj ki shahed bani hui hai.

Delhi ki Jama Masjid apni ek roshan tareekh rakhti hai aur maazi mein is ne Hndustanioun ki jad-o-jehad dekhi hai aur ab is shehriat qanoon ke khilaaf pooray mulk mein ho rahay muzahiroun ke douran bhi is ki ahmiyat zahir horahi hai. Jama masjid ke ateraaf aur is ki sedihoun par rozana hazaroun loog pahonch kar shehriat tarmeemi qanoon, NRC aur NRP ke khilaaf apna ehtijaj darj kar rahay hain. Un muzahiroun ke douran ek qabil zikar muzahira qadeem Delhi ke bashindgaan kar rahay hain jo apne pur aman muzahirey ki wajah se loogoun ki tavajja ka markaz bana huva hai. Nowjawan tabqa par mushtamil ye muzahira rozana takreeban 8 bajey raat se 9 bajey tak hota hai aur dilchasp baat ye hai ke is mein khawateen ki tadaad bhi khatir khuwa hoti hai.

Jama Masjid mein rozana jama honay walay muzahireen mein se ek ne media se baat cheet ke douran kaha ke guzashta 31 decemeber se hum loog JamaMasjid ki sedihoun par beth kar pur aman ehtijaj kar rahay hain. Hum shehriat qanoon aur NRC ke khilaaf apni aawaz is liye utha rahay hain kyunkay nah sirf ye aeen ke khilaaf hai balkay Hindustan ke haqeeqi bashindoun ko bhi bahar ka rasta dikhaane wala hai. Ek deegar ehtajaji ne muzahirey ke baaray mein tafseel dete hue kaha ke rozana Jama masjid par kam o besh 400 afraad jama hotay hain aur ye muzahira is waqt tak jari rahe ga jab tak ke shehriat tarmeemi qanoon wapas nahi le liya jata. NRC ke khilaaf bhi hum aawaz utha rahay hain kyunkay is ke manfi asraat Assam mein poori terhan se zahir ho chuke hain.

Qadeem Delhi ke nojawanoun ke zareya ho rahay is ek se daidh ghantay par mushtamil muzahira mein shaamil loogoun ki tadaad din bah din badhti ja rahi hai kyunkay jaisay jaisay loogoun ko pata chal raha hai ke yahan qadeem Delhi ke loog shaam ke auqaat Jama ho rahay hain, Wo bhi yahan pounchanay ki koshish karte hain. 31 decemeber se ab tak hue muzahiroun mein 3 din Candle March bhi nikalay gaye. 8 aur 15 January ko lal kuan se Jama Masjid ke liye Candle March nikla jab ke pehla Candle March 2 March ko taraha Beram Khan se nikala gaya tha. Candle March ke douran ghair Muslim afraad bhi kaafi tadaad mein shirkat kar rahay hain. Candle March mein shaamil 1 shakhs ne kaha hai ke hazaroun ki tadaad mein loog candle March mein is liye shaamil ho rahay hain taakay Modi hukoomat tak ye baat puhanche ke hum shehriat qanoon mein tarmeem se khush nahi hain, Hum mazhab ki bunyaad par kisi bhi tafreeq ko pasand nahi karte aur hamein koi bhi aisi policy manzoor nahi jo Hindu Muslim bhaiyoun ko ladhane ki koshish kere.

15 January ko lal kuan se Jama masjid ke liye nikala gaya candle March kayi maino mein ahmiyat ka haamil tha. Is candle March ki khaas baat ye thi ke Jama Masjid poanch kar muzahireen ne Jamia Millia Islamia talba ke khilaaf police ki zulm ko bhi yaad kiya. Wazeh rahay ke theek ek mah qabal yani 15 decemeber ko Jamia ke talba par police ne university campus mein daakhil ho kar qehar dhaya tha. Qadeem Delhi ke bashindoun aur kuch deegar maqamat se jama loogoun ne Jama masjid par jama ho kar kuch drameye bhi pesh kiye jin mein ek drama Jamia tashadud waqea par mabni tha. Is drama mein Jamia ki bahadur taliba Ladeda ke is video ko daramay ke tor par pesh kiya gaya jis mein wo be intahaa himmat ke sath apne ek dost ko police ke danday se bachati hui nazar aati hai aur pooray mulk mein bahaduri ki ek alamat ban jati hai.

Rozana ho rahay is muzahirey ke ek intizamkar ne kaha hai ke hum loog pehlay Jama Masjid gate number 1 ke qareeb insani zanjeer banatay they lekin police ko aitraaz huva aur unhoun ne kaha ke is terhan muzahira jari raha to loogoun ko hirasat mein le liya jaye ga. Baad azan hum loogoun ne baat cheet kar ke Jama masjid ki sedihoun par’ khamosh muzahira ka mansoobah banaya jis mein Jama masjid intizamia ki ijazat bhi le li gayi. Unhoun ne mazeed kaha ke Esha ki namaz ke baad hum Jama Masjid ki sedihoun par placards aur banner waghera le kar baith jatay hain jis mein shehriat qanoon o NRC ki mukhalifat walay alfaaz likhay hotay hain. Aakhir mein hum khaday ho kar qaumi taranah ( Jana Gana Mana ) padhte hain aur phir Jai Hind bol kar takreeban 9 bajey apne ghar chalay jatay hain.

Wazeh rahay ke qadeem Delhi ki nojawan khawateen o mardoun par mushtamil rozana honay wala ye’ khamosh muzahira apni aawaz bulandi ke sath utha raha hai aur intahi munazzam andaaz mein baghair kisi ko takleef puhnchaye horaha hai. Qadeem Delhi se nikalay gaye ab tak 3 candle March ke liye bazabta police ki ijazat bhi li gayi thi aur Jama masjid ka rasta tey karte hue traffic nizaam mein koi khalal peda nah ho, Is ka bhi khaas khayaal rakha gaya ja raha hai. –YTN STAFF