New Delhi : Mulk ke dar-ul-hukoomat Delhi ke Zakir nagar mein waqay ek makaan mein der raat aag lagnay se 6 afraad ki mout ho gayi, jabkay 10 afraad shaded tour se jhulas gaye. fire brigade ke ek ohdedar ne tafseelaat batatay hue kaha kay guzashta raat taqreeban 2: 30 bajey Zakir nagar mein aag lagnay ki ittila mili. iske baad fire brigade ki aath gadiyon ko mauqa par bheja gaya jis ke baad aag par qaboo paaya gaya.
Police ke mutabiq marnay walon mein do mard, do khawateen aur do bachay shaamil hain. ibtidayi tahaqeeq mein pata chala hai ke is chaar manzila imarat mein jumla 13 flat hain. aag bijli ke meter board se phaily thi. aag itni bhayanak thi ke parking mein khadi saat cars aur aath motorcycle bhi jal kar raakh ho gayi. aag mein jhulse logon ko ilaaj ke liye holi family dawakhana mein daakhil karaya gaya hai. Delhi ke chief minister Arvind Kejriwal ne junoobi mashriqi Delhi ki Jami Millia islamia ke nazdeek zakir nagar ilaqa mein atishzadgi mein marnay walay logon ke ghar walon ko fee kas 5 lakh rupaye aur zakhmion ko fee kis 2 laakh ki imdadi raqam dainay ka elaan kiya.
Kejriwal ne zakir nagar mein jaye haadsa ka muaina karne ke baad yeh elaan kiya. unhon ne sahafion se kaha ke mutasirah khandano ko paanch laakh aur zakhmion ko 2 laakh rupaye ki imdadi raqam di jaye gi. aag lagnay ke asbaab ki jaanch ki jayegi. wazeh rahay ke junoob mashriqi Delhi ke Jami millia islamia university ke nazdeek zakir nagar mein aag lagnay se 6 logon ki mout aur 10 deegar zakhmi hogaye. Kejriwal ne tweet kiya ke zakir nagar mein aag lagnay aur mutadid amwaat ki ittila milnay par ghumzdaa hon. mein jaye haadsa ka muaina kar raha hun aur Delhi hukoomat mutasirah khandano ko har mumkin madad faraham karegi aur atishzadgi ke asbaab ki jaanch karaegi. –YTN STAFF