New Delhi : Aam intikhabaat ke nataij ne hindustani siyasat naqsha hi mukammal badal diya hai aur aisa mehsoos honay laga hai ke hukoomat ko challenge karne wali koi quwat mulk mein baqi nahi rahi hai. doosri janib bar-sir iqtedar hukoomat kisi bhi mauzo par kisi se nah to raye lainay mein yaqeen rakhti hai aur nah tabadlah khayaal karne ki zaroorat mehsoos karti hai. aisi sorat-e-haal mein tamam siyasi partiyan ek ajeeb siyasi kash makash ki shikaar hain. un nataij ke baad mulk ki sab se badi siyasi jamaat congress bohat kharab daur se guzar rahi hai aur kuch aisa hi haal deegar siyasi partiyon ka bhi hai. woh kehte bhi hain ke tareekh khud ko dohrati hai aur is waqt Amrici tareekh Hindustan mein dohrai jarahi hai kyunkay Amrici sabiq sadar George Bush ne 9 / 11 ke hamla ke baad dehshat gardon ke khilaaf karwai se pehlay duniya se kaha tha ke ya to aap hamaray sath hain ya hamaray khilaaf hain. kuch aisi hi sorat-e-haal is waqt hindustani siyasat mein hai ke ya to aap birsir iqtedar BJP ke sath hain ya phir khilaaf hain. Nateeja saaf zahir hai ke ab ziyada tar partiyan fil haal BJP ke sath khadi rehne mein hi apni aafiat samajh rahi hain.
Saal 2015 ke assembly intikhabaat mein tareekhi kamyabi ke baad Wazeer-e-Azam Narendra Modi ko buzdil aur dimaghi mareez kehnay walay Delhi ke chief minister Arvind Kejriwal ke bhi tevar ab mukammal badlay hue hain. woh na sirf ab khud ko ek bada hindu rehnuma dikhaane ki koshish karte hain balkay Narendra Modi ki har baat ka istaqbaal karte hain.
Kejriwal siyasi shatranj ke maahir khiladi hain ya phir unke siyasi safar mein halaat ne unka bohat sath diya jiski wajah se bohat kam waqt mein unhon ne mulk ke siyasi manzar nama par apni ek jagah banali lekin fil haal jo unke andar siyasi tabdeelian nazar aayi hain is ki wajah ya to Modi ka khauf hai ya phir un ko ehsas hogaya hai ke awam is waqt Modi ke khilaaf suneney ke haq mein nahi hai.
Saal 2015 ki kamyabi ke baad se Kejriwal ki maqboliat mein bohat taizi se kami aayi hai, unki party ka har intikhabaat mein voting feesad kam hua hai. jis party ko assembly intikhabaat mein 54 feesad vote miley hon aur saal 2014 ke lok sabha intikhabaat mein 33 feesad vote miley hon, is party ko saal 2019 ke aam intikhabaat mein sirf 18 feesad vote milein hain, jo congress party se bhi kam the, AAP ko 7 seat mein iske teen umeedwaron ki zamanat zabt hogayi thi. khaas baat yeh hai ke jin teen umeedwaron ki zamanat zabt hui is mein nai Delhi seat ke umeed waar bhi shaamil hain, is halqa mein wazeer-e-ala Arvind Kejriwal ki assembly seat bhi aati hai. is seat par jahan sarkari mulazmeen voter hain wahein middle classe ki ek badi tadaad vote kar ti hai. aisay hi aam aadmi party ki sab se high profile umeed waar Atshi jo mashriqi Delhi parlimani seat se intikhabaat ladi rahi theen, unke halqa mein Delhi ke naib cheif minister aur hukoomat ka chehra Manish sisiodia ki assembly seat aati hai aur is parlimani seat par aatshi teesray number par rahen. yeh nataij thoda chonkanay walay zaroor hain lekin Delhi mein chonkay AAP Bar sir Iqtidaar hai aur Sheila Dixit ke intqaal ke baad Delhi congress jin halaat se guzar rahi hai is mein Kejriwal ke liye sab kuch khatam nahi hua hai.
Kejriwal ke andar yeh ehsas badhta ja raha hai ke sirf ghareebon aur musalmanoun ke voton se unki Iqtidaar mein wapsi mumkin nahi hai. woh is baat ko bhi samajh rahay hain ke Iqtidaar mein wapsi ke liye inhen Delhi ke middle classe votoron aur nojawanon ka vote chahiye, kyunkay yeh dono vote ab unke paas nahi rahay hain. congress ke kamzor honay ki wajah se yeh log BJP ko vote denge. Kejriwal un voters ko wapas laane ke liye Modi ke khilaaf nah sirf khamosh hain balkay koshish kar rahay hain ke woh unke sath khadey dikhayi den. yeh chaal Kejriwal ke liye tabah kan bhi saabit hosakti hai kyunkay yeh bhi bohat mumkin hai ke middle classe voter un ke paas wapas na aaye balkay AAP ka ghareeb aur muslim voter unse door ja sakta hai.
Mojooda halaat mein Hindustan aur Delhi ka ek bada tabqa chahtea ke congress mazboot ho is liye ke unke masail ko uthane wala koi to ho. is mein koi do raye nahi ke mulk ka ek bada tabqa yeh maan raha hai ke congress hi ek aisi party hai jo hukoomat se kisi bhi maamla mein samjhota nahi karegi, is liye is ko mazboot karna zurori hai. Delhi congress ki qiyadat tey honay ke baad asli tasweer samnay aayegi. congress ke khadey honay ka jitna awam ko intzaar hai is se kahin ziyada khud congress ke rehnumaon aur karkunaan ko hai kyunkay un ke liye marnay jeeney ka sawal hai.
Qoum parasti aur Modi lehar ki wajah se BJP mein bohat ziyada pur-etemad hai lekin woh zameeni haqayiq se pareshan bhi hai. woh mulk ke bigadtai iqtisadi halaat se jahan pareshan hai wahein unko is baat ka bhi ehsas hai ke Delhi BJP ke sadar Manoj Tiwari Delhi mein party ko mazboot karne mein kamyaab nahi ho paye hain. yeh intikhabaat lok sabha ki tarhan Modi ke liye nahi hain. doosri janib BJP ko mazboot congress ki sakht zaroorat hai taakay voton ki taqseem ka unko faida ho sakay. saal 2015 mein Kejriwal ko awam ki jo zabardast himayat haasil hui thi is mein wazeh kami nazar aa rahi hai aur is kami ko door karne ke liye Kejriwal ki jo Modi ke sath khadey dikhne ki koshish hai woh party ke liye khudkushi karne jaisa saabit hosakta hai. aane walay dinon mein Delhi ki siyasi shatranj par kon kiya baazi chalta hai woh tey karega ke Delhi mein aglay saal kis ke haath mein siyasi baag doud hogi. fil haal Kejriwal ne khud ko mukammal tabdeel karliya hai aur woh Modi ke khilaaf nahi balkay sath khadey nazar aana chahtay hain. –YTN STAFF