India

Delhi intikhabaat ke Exit Poll, BJP ke behtar muzahirey ke bawajood AAP ki hukmarani barqarar

By News Desk Roman Urdu

February 08, 2020

New Delhi: Delhi mein Assembly intikhabaat ho chukay hain aur kayi umeedwaroun ki qismat AVM Machines mein band hai lekin awam ko ek janib justojoo hai ke kis party ko kamyabi milegi aur kon umeed waar umedoun ke sath hi ghar lout jaye ga lekin un sab ke bawajood jo rujhanaat aur Exit Poll samnay aeye hain wo Aam Aadmi Party ki kamyabi aur Arvind Kejriwal ke dobarah Chief Minister ban’nay ke isharay day rahay hain.

Exit Poll ke rujhanaat saaf zahir kar rahay hain ke Delhi mein Aam Aadmi Party ki iqtidaar mein nah sirf wapsi ho rahi hai balkay is ki ye wapsi dhamakedar ho rahi hai. Tamam Exit Poll ke rujhanat BJP aur Amit Shah ke liye buri khabar le kar aeye hain. BJP aur wazeer e dakhla Amit Shah ki tamam koshisho ke ba wujood Delhi ke voters nah sirf BJP ko mustard karte nazar aa rahay hain balkay mazhabi bunyaad par honay wali siyasat ko bhi mustard kar diya hai.

ABP aur C voter ke Exit Poll ke mutabiq Aam Aadmi Party ko 49 se 63 ke darmain Seats millti nazar aa rahi hain, BJP ko 5 se 19 seats aur congress ko sifar se 4 tak seats milnay ka rujhan mil raha hai. Times Now ke Exit Poll ke mutabiq Aam Aadmi Party ko 44 seats aur BJP ko 26 seats milnay ke rujhan nazar aa rahay hain. Is ke sath RepublicTV ke Exit Poll ke mutabiq Aam Aadmi Party ko 48 se 61 ke darmain seats millti nazar aa rahi hain, BJP ko 9 se 21 seats aur Congress ko sifar se ek tak seats milnay ke rujhan mil rahay hain. India News ke Exit Poll ke mutabiq Aam Aadmi Party ko 53 se 57 seats millti nazar aa rahi hain, BJP ko 11 se 17 seats aur Congress ko sifar se 2 tak seats milnay ke rujhan mil rahay hain. News X ke Exit Poll ke mutabiq Aam Aadmi Party ko 50 se 56 seats, BJP ko 10 taa 14 seats aur Congress ko sifar Seats milnay ka rujhan hai.

Abhi tak jitne Exit Poll aeye hain un ka ost nikala jaye to Aam Aadmi Party 56 seats, BJP ko 17 aur Congress ko ek seat milnay ka rujhan hai. Wazeh rahay saal 2014 mein BJP ki aam intikhabaat mein zabardast kamyabi ke baad Delhi mein un ki kamyabi ka rath ruk gaya tha aur is ke baad Bihar mein bhi BJP ko zabardast nakami ka saamna huva tha. Saal 2019 ke aam intikhabaat mein zabardast kamyabi ke baad BJP ko Haryana mein makhloot hukoomat banani padi, Maharashtra mein hukoomat nahi bana payi aur Jharkhand mein zabardast shikast ke baad Delhi mein ek martaba phir shikast se do chaar hoti nazar aa rahi hai. –YTN STAFF