India

Delhi fasadaat mein Musalmanoun par hamlay Sikhoun ke zakham taaza kar diye

By News Desk Roman Urdu

March 12, 2020

Delhi: Shumal mashriqi Delhi ke fasadaat ki Social Media par shaya honay wali tasaveer aur Videos jis mein khakstar karen, Sharpasandoun ki janib se phainky jaane walay Petrol ke Bombs aur is se Delhi ke aasman par uthta dhuwan Santooq Singh ke zehan mein 1984 ke Sikh mukhalif fasadaat ki dard naak yaado ko phir taaza kardiya hai. Is waqt Santooq Singh ki omar baa-mushkil 5 saal thi lekin is ke zehan mein ab bhi tashadud ke wo manazer taza hain.

Singh, Jo maghribi Delhi ke Tilak Vihar mein rahaish pazeer hain aur Kam karte hain aur unhoun ne kaha hai ke Delhi ka fasaad Sikhoun ke khilaaf 1984 ke tashadud ke Replay ki terhan lagta hai. 31 October 1984 ko sabiq Wazeer e Azam Indera Gandhi ko un ke 2 Sikh Security gardoun ke hathoun maaray jaane ke foran baad hi Delhi mein takreeban 3 hazaar Sikh tashadud mein maaray gaye they. 1984 aur 2020 ke tashadud ke darmain 2 farq ye hain ke is waqt Sikhoun ko nishana banaya gaya tha, Ab Musalmanoun ko nishana banaya gaya hai.

Singh ne kaha ke is waqt mulk ka iqteqar Congress ke hathoun mein tha aur ab Bhartia Janata Party ( BJP ) ki hukoomat hai. Singh ke bamujab Aam Aadmi Party ki zer e qayadat Delhi hukoomat ne bhi ibtidayi tor par kuch nahi kiya tha. Kisi ki mout hojana zindagi ka wo bada nuqsaan hai kuch bhi karlo is nuqsaan ki talaafi nahi hosakti. Bilkul isi terhan jaisay 1984 mein Sikh mukhalif tashadud, Jab 20-50 saal ki omar ke mardoun ko nishana banaya gaya tha, Is baar bhi ziyada tar marnay walay ek hi omar ke mard hain. Singh apne waalid jo kay ek Riksha chalanay walay they un ko yaad karta hai, Jisay Sultanpuri mein ek band makaan mein 3 deegar afraad ke sath zindah jala diya gaya tha, Jahan wo fasadioun se chhupa huva tha.

Is waqea ko yaad karte huve wo kehta hai ke hamari kachi abadi jalaadee gayi thi lekin hum faraar honay mein kamyaab hogaye they. Mere waalid ghar pounchanay ke liye kaam ke maqam se bhaag gaye they lekin wo kabhi nahi poanch sakay. Police ya intizamia ki taraf se usay dhoandne mein koi madad nahi mili.

Mobayyana tor par shumal mashriqi Delhi ke ilaaqoun mein jari tashadud ke douran mutasireen ne madad ke liye pukara lekin un ki aawaz kisi ne nahi suni. 23 Feb ko pur-tashaddud waqeat ke baad se ab tak 50 se ziyada afraad halaak ho chukay hain aur fasadaat ki wajah se Delhi police apne kirdaar ki wajah se tanqeed ki zad mein aagai hai. Maghribi Delhi ke Janakpuri se talluq rakhnay walay 54 sala Supreme Court ke wakeel Tejinder Pal Singh Nalwah jo 1984 mein apne rishte ke bhai aur ek dost ko kho chuke they, Wo Sikh fasaad ko Delhi fasaad se tabeer karte hain, Jaissa ke unhoun ne kabhi bhi 1984 ke tashadud ko fasaad nahi qarar diya tha. Nalwa ne kaha hai ke jab hajhoom ne logoun par hamla kiya tha, Tab ye riyasat ek khamosh tamashaayi thi.

Insani haqooq ke karkun Gautam Navlakha ne kaha hai ke dar haqeeqat 1984 ke tashadud se mumaselte hain. 1984 mein hamla aawar jin mein ziyada tar nojawan they talwaroun, Khanjroun, Nizoun, Trishool aur lohay ki salakhoun se lais sadkoun par ghoom rahay they. Fact Finding ki ek Report jo kay Civil Society ki tanzeem Peoples Union For Civil Liberties ( PUCL) aur Peoples Union baraye jamhoori haqooq ( PUDR ) ne mushtarqa tor tayyar ki thi is mein Sikh mukhalif fasadaat ki tafseelaat faraham ki gayi thi.

Report mein mazeed kaha gaya ke un afraad ne ishtial angaiz naaray bhi lagaye. Is baar naaray baazi karne walay hamla awaroun ko hathoday aur Gulhardi hatta ke bandoqoun se bhi lais kiya gaya hai aur fasaad mein dono taraf halakten hovi hain. Navlakha jo 1984 mein PUSL,PUDR ki Fact Finding Team ka hissa they unhoun ne mazeed kaha hai ke yahan tak ke 1984 mein Police ya to ghair haazir thi ya sirf kuch tadaad mein mojood they ya unhoun ne hujhoom ki madad karne mein mutassbana kirdaar ada kiya, Jaisay wo ab is fasaad mein bhi kiya hai.

Navlakha ne mazeed kaha ke tashadud ki ibteda mukrtalef hai. Jamea Millia Islamia mein shehriat ( tarmeemi ) Act ( CAA ) ke khilaaf muzahireen, Javaharlal Nehru University ( JNU ) mein hamla, Aur Kargil se bud sulooki ke khilaaf muzahireen ke khilaaf Crack Down is tashadud se pehlay pesh anay walay waqeat ko faramosh nahi karna chahiye. Is ke alawa, Is mahinay ke shuru mein Delhi Assembly intikhabaat se qabal Delhi ke sabiq MLA aur BJP rehnuma Kapil Mishra ki nafrat angaiz taqarir aur phir Bhartia Janata Party ki shikast bhi is ki ibtida hai. 1984 ke tashadud se mutaliq PUCL PUDR ki Report mein bataya gaya hai ke hukkaam ki tajweez ke mutabiq, Ye Indera Gandhi ke qatal par pagal pan aur awaami gham o gussa ka radd amal tha.

Sab se ziyada Congress ke ahem siyastdanoun aur intizamia ke hukkaam ke zareya jaan boojh ahem nakaat se parda poshi ka nateeja hai. Congress ke siyasat daano par hajhoom ko bhadkanay ka ilzaam lagaya gaya hai. Barsoun baad sirf Decemeber 2018 mein hi un mein se ek Sajan Kumar ko Delhi High Court ne omar qaid ki saza sunai thi. Media Reports ke mutabiq mojooda tashadud se mutasirah afraad ke ahal khanah ne is tashadud ke liye Mishra ki aag laganay wali takreer ko zimma daar qarar diya hai.

Social Media par Post ki gayi ek Video mein, Mishra ne Delhi Police ko sadkain saaf karne ke liye 3 din ka Ultimatum diya tha. Shumal mashriqi Delhi ke Jafarabad aur Chaand Bagh ke ilaqay jahan CAA ke khilaaf muzahiray ho rahay hain, Unhoun ne kaha tha agar sadkain khaali nahi hoti hain to hum aap ki baat bhi nahi manen ge. 23 Feb ko shuru honay walay 3 din ke douran, Fasadyoun ne sadkain sambhaal len, Masoom aur be-gosoor afrad  ko halaak kiya, Ghar baar lautay aur amlaak ko nuqsaan pohanchaya. 1984 mein hamla awaroun ne Sikhoun ke gharoun, Dukanoun اaur Gurdwaroun ku nazar e aatish kardiya tha. Jab ye tasaveer shumal maghribi Delhi ke Mangolpuri ki 57 sala Harbans Gaur ke Mobile Phone par khuli gayen to inhen 1984 ke hamla awaroun ki bhi yaad aagayi. Metro Rail aur Flyover ke sath Delhi ka manzar 3 dahaiyo mein badal gaya hai. Aisa lagta hai ke Delhi bohat tabdeel hochuki hai lekin afsos ki baat ye hai ke jahan tak aqlitoun ka talluq hai, Kuch bhi nahi badla. Wo ab bhi khauf zada rehtay hain.

Singh ne kaha ke tashadud ke khatmay ke baad ahal khanah ku kho dainay se ziyada wo apni bhikri huvi zindagi ke tukdoun ko simetnay mein masroof rehta hai. Kayi sawalaat aisay hotay hain jo hamesha jawab nahi hotay. Mein ab bhi nahi jaanta ke mere waalid ke jism ka kiya huva ye aisa sawal hai jis ka shayad koi jawab hi nahi hai. Nalwa ne mazeed kaha ke har baar umeed ki wahid kiran ye hoti hai ke har baradri ke loog apne padosioun ki madad ke liye bhi agay badhatay hain aur logoun ka yahi rawayya hota hai jo hamein ek nai umeed ke sath hamein agay bhadne ki himmat faraham karta hai. –YTN STAFF