India

Delhi Fasaad, Mazeed 6 Muslim afraad ki zamanat manzoor

By News Desk Roman Urdu

October 23, 2020

New Delhi: Jamiat Ulema-e-Hind ki koshisho se Delhi fasaad mein mobayyana tor par  markhoz Muslim mulzimaan shadaab Ahmed , Rashid Saifi , Shah Alam, Mohammad Abid, Arshad Quyom aur Shah Alam ko Karkardooma Sessions adalat ne zamanat par reha karne ka hukum day diya. Isi ke sath Maulana Syed Arshad Madni ne kaha kay un ke ba izzat bari honay tak hamari koshish jari rehay gi aur fasadaat ki rokk thaam ke liye zilai intizamia ko jawab banana zaroori hai.

Jamiat ulema-e-Hind ki arzi par guzeshta 2 denon mein Karkardooma session adalat ne mulzimin Shadaab Ahmed, Rashid Saifi, Shah Alam aur Mohammad Abid ko FIR number 117/ 20 (Dayalpur police station) Aur Arshad Qayum, Shah Alam ko FIR آرنمبر 98 / 93 number muqadma mein mashroot zamanat par reha kiye jane ke ehkamaat jari kiye. Jumiat ke tavassut se abtak Delhi high court aur session adalat se 16 mobayyana mulzimaan ku zamanat mil chuki hain. Jamiat Ulema-e-Hind ne Delhi fasaad mein mobayyana tor par phasaye ge senkdon Musalmanoon ke muqadmaat ladnay ka beda uthaya hai aur Jamiat Ulema-e-Hind Maulana Syed Arshad Madni ki khusoosi hadaayat par mulzimin ki zamanat par rihayi ke liye session adalat se leker Delhi high court tak qanooni koshishen jari hain. Mulzimin Shadaab Ahmed, Rashid Saifi, Shah Alam aur Mohammad Abid ko Additional Session Judge Vinod Yadav ne 25 hazaar rupiye ke zaati machalka par zamanat par reha kiye jane ke ehkamaat jari kiye, Sarkari wakeel ne mulzimin ki zamanat par rehayi ki sakht lafzon mein mukhalifat karte hue adalat ko bataya ke mulzimen ki zamanat par rihayi se aman mein khalal pad sakta hai lekin adalat ne difai wakla dalail se ittafaq karte hue mulzimen ki zamanat arzdasht manzoor karli.

Jamiat Ulema-e-Hind ki janib se mulzimen ki pairwi Advocate Zahiruddin Babar chuhan aur un ke Muawin wakeel Advocate Dinesh ne ki aur adalat ko bataya ke is muamlay mein police ki janib se chaarge sheet daakhil ki ja chuki hai aur mulzimen ke khilaaf ilzamaat par Direct saboot nahi hain lehaza inhen zamanat par reha kiya jana chahiye, Mulzimen par tazeerat hind ki daf-aat 147,148, 149, 436, 427 ( khatarnaak hathyaaron se fasaad barpaa karna, Aatish geer madah ya aag zani se gharon ko nuqsaan pahunchana, Ghair qanooni tor par jama hona aur PDPP Act ki dafaa 3,4 ( awaami amlaak ku aatish kair mavaad ya aag zani se nuqsaan pahunchana ) ke tehat muqadma qaim kiya gaya hai aur mulzimen guzashta 3 mah se zayed arsa se jail mein muqeed hain.