Latest News

December se qabal America ko 8 badey samandari tufanoun ka khadsha

By News Desk Roman Urdu

August 10, 2019

Washington : Europe mein mausam-e-garma ki tabah karrian jari hain aur guzishta ek mahinay mein hazaroun ki tadaad mein amwaat hui hain jabkay mahireen pehlay hi intibah day chuke they ke rawan saal July ka maheena duniya ki tareekh ka garam tareen maheena qarar diya gaya hai taham ab jari kiye jane walay taaza tareen adaad wo shumaar mein sirf July mein Europe bhar mein bad-tareen garmi ki wajah se taqreeban 3 hazaar afraad jaan bahaq hogaye jabkay July ke sirf aakhri haftay mein Netherland mein honay wali halakaton ki tadaad 400 thi.

Mahireen ke mutabiq, shaded garmi ki wajah se mongay ki kayi naslen tabah wo barabad hogayi hain jabkay America mein decemeber tak samandari fizai pattern mein tabdeeli ki wajah se 8 badey samandari tufaan anay ka khadsha hai. Aviation ke mahireen ne inkishaaf kiya hai ke fizai pattern mein tabdeeli ki wajah se hi parwazoun mein turbulence ( bulandi par tayyaray ko jhatkay lagnay ke waqeat ) bhi badh gaye hai. report ke mutabiq, 22 July se shuru honay walay haftay ke douran halaak honay walay afraad ki majmoi tadaad 2964 hai.

Tadaad mein yeh izafah guzashta saal honay wali halakaton ke muqablay mein 15 feesad ziyada hai. Netherlands mein yeh pehli martaba hai ke darjah hararat 40 degree centigrade tak pouncha, ziyada tar halakatein mulk ke mashriqi hisson mein huien jahan darjah hararat mulk ke deegar hisson ke muqablay mein ziyada record kiya gaya. mahireen maholiyaat ne intibah diya hai ke anay walay barson mein garam hawaoun ka yeh silsila aam hojayega.

America ke idaray ( NOAA) ne intibah diya hai ke decemeber se qabal America 8 badey samandari tufanoun ( Hurricanes) ka shikaar ho sakta hai. mahireen ke mutabiq, tufanoun ki shiddat mein yeh izafah samandari fizai pattern ke khatmay se qabal hoga, yeh ghair mamooli sargarmi 30 feesad izafay ke sath samnay aayegi jis mein pehlay session mein hawae 39 mil fee ghanta, dosray session mein hawae 74 mil fi ghanta jabkay teesray session mein 111 mil fi ghanta tak ja sakti hain.

Doosri janib mohaqiqeen ne kaha hai bain albar aazmi parwazon mein turbulence ka silsila badh gaya hai jiski wajah samndaroun ke oopar uthnay wali taiz hawaoun ( jet stream ) ke pattern mein tabdeeli hai. pattern mein tabdeeli ki wajah se hi douran parwaaz bulandi par jahaaz ko jhatkay lagtay hain taham ab yeh silsila badh gaya hai jis ki wajah maholiyati tabdeeli aur aalmi tagayur batayi ja rahi hai. mohaqiqeen ke mutabiq, jet stream 1979 ke adaad wo shumaar ke muqablay mein 15 feesad ziyada be tarteeb hogayi hai. –YTN STAFF