Slider

Cycle Race mein Saudi khawateen ki pehli martaba shirkat

By News Desk Roman Urdu

August 25, 2020

Riyadh: Saudi Arab mein Qasim ilaqay ke Almahalah shehar mein Almahalah ke maqam par pehli martaba Cycle Race mein Saudi khawateen shareek hui hain. 13 kilometer ki race mein mumlikat bhar se das khawateen ny shirkat ki. Tournament ki sarparasti Saudi Cycling Federation ny ki. Ye apni noiyat ka pehla muqaabla hai jis mein Cycles Race mein Saudi khawateen ny hissa liya.

Tafseelaat ke mutabiq Ahlam Nasser Al Zaid nay muqaabla jeet liya. Ahlam Nasser Al Zaid nay 13 kilometer ka faasla 22 minute 18 seconds mein tay kiya. Ahlam Nasser Al Zaid nay Twitter par kaha ke un ka khawab poora hogaya aur Saudi Championship ka aizaz haasil karliya. Unhoun nay kaha ke jab se mein nay Cycling Sports mein hissa lena shuru kiya mera khawab tha ke Cycling championship mein hissa lon. Ziyada baais fakhr aur ezaz ki baat ye hai ke Saudi Arab ki sports ki tareekh mein ye aizaz sab se pehlay mere hissay mein aaya.

Ahlam Nasser Al Zaid is se qabal Amira Noura university Riyadh mein Cycling ke khulay muqablay mein pehla maqam haasil kar chuki hain. Al khabar mein panchawan maqam haasil kiya tha aur mumlikat bhar mein dosra maqam haasil kar chuki hain. Ahlam Nasser Al Zaid mukhtalif muqablon mein hissa layte rahi hain. Unhoun nay 2019 ke douran Bahrain mein munaqidah mard aahan ki daud mein hissa liya tha. 90 kilometer ka faasla teen ghantay se bhi kam waqt mein tey karliya tha.

Alawa azeen is muqablay mein dosra maqam Al Anoud Khamis Al Majid ny haasil ki. Al Anoud Khamis Al Majid ny muqarara faasla 25 minute aur 39 seconds mein poora kiya. Alaa Salem Al Zahrani ny teesra maqam haasil ki. Unhoun ny ye faasla 26 minute 57 second mein tey kiya. Nura Al Sheikh  ny 27 minute 4 second mein ye faasla tey karkay choutha maqam haasil kiya. Muqablay mein  Awatef Al Qunbit ny Tournament mein sab se ziyada omar wali umeed waar ke tor par hissa liya jabkay sab se kamsin  Batul Ahmed theen.

Cycling time 2030 ki rukan Sherine Abu Al-Hassan ne kaha ke Saudi Cycling federation ki teen khawateen bhi muqablay mein shareek huven. Sab se ziyada omar wali khatoon ne muqablay mein shirkat karkay ladkiyon ke hauslay bhedhaye. Cycling time 2030 team March 2020 mein qaim huvi. Corona waba ki wajah se is ki sargarmia moattal rahen. Is team mein 18 baras se le kar 65 baras tak ki ladkiyan aur khawateen shaamil hain. Team ko training dainay wala Group muntakhib Trainers ka hai. Sare fehrist Al-Hilal Club team ke trainer Yusef Al-Qoud hain.