Uttar pradesh : Aaj ke is taraqqi Yafta daur mein jahan ilaaj wo mualja ki behtar saholatein muyassar hain, aisay mein mulk ke dehaton mein aaj bhi ilaaj ke tarhan tarhan ke tareeqay istemaal kiye jatay hain. kuch muamlay to samajh mein atay hain magar kuch aisay tareeqay hotay hain jinhein dekh kar bara taajjub hota hai, aur aisay tareeqay apnane walon ki jahalat par taras aata hai.
Ek aisay hi waqea mein gaon ke logon ne 1 shakhs ko current lagne par ek anokha tareeqa ilaaj apnaye hai .
tafseelaat ke mutabiq, uttar pradesh ke zila peeli bheet mein 1 shakhs ke bijli ka nishana ban’ne ke baad, iske ghar walon ne usay ”Desi ilaj “karwane, ke liye 5 ghantay reth mein dafan kar diya, jis ki wajah se iski mout waqay ho gayi.
Peeli bheet ke ilaqay gurjar wala ke pandra gaon mein sardar joga singh ka ek farm house hai aur iska ghar farm house mein hi hai. iske ghar ke oopar high tension line guzar gayi hai. joga singh apne ghar ke aangan mein khada tha ke high tension line toot kar sehan mein gir gayi, jiski wajah se woh bijli ka shikaar ho gaya aur jhulas gaya.
Is ke ghar walon ka maanna hai ke agar kisi ko current laga hai, aur isko reth mein dafan Kiya jaye to woh theek hojata hai. lehaza sabhi ne joga singh ko gadha khod kar reth mein dafan kardiya. is baat ka bhi khayaal rakha gaya ke iske haath, paon aur sir bahar rahen. Joga singh ko reth mein dafan karne ke baad, iske ghar ke log iske hathon aur ungliyoun ko ragadhte rahay, lekin iski mout hogayi thi.
Joga singh ne mout par iske ghar walon ka kehna hai ke woh mehakma barqi ki ghaflat ki wajah se mar gaya, is ka ghar 40 saal purana tha, iske bawajood iske ghar ke oopar se high tension line khenchi gayi thi. yeh baat sahih hai ke woh bijli lagne se jhulas gaya tha, lekin agar dekha jaye to iska ilaaj karane ke bajaye usay gadhay mein dafan karne ki wajah se, aur un logon ke ”Desi ilaj “ ke naam par aisi harkat karne ki wajah se uski mout ho gayi. agar usay hospital le jaya jata to shayad is ki jaan bach sakti thi. lekin jali hui haalat mein iska ilaaj karane ke bajaye is ko reth mein dafan karna jaan lewa saabit hua. –YTN STAFF