Trending News

Curfew kay khilaaf warzi, Saudi mein nojawan ladke aur ladkiyan giraftar

By News Desk Roman Urdu

May 14, 2020

Riyadh: Saudi hukkaam ne Novel Coronavirus ko phelnay se roknay ke liye muqarrar hifazati iqdamaat ko challenge karne walay un ladkoun aur ladkioun ko giraftar kiya hai jo mehloun mein ghoom phir rahay they. Un par curfew ki khilaaf warzi ke jurmane laga diye gaye jabkay curfew Pass se najaaiz faida uthany walay 2 ghair mulki bhi giraftar karliye gaye. Tafseelaat ke mutabiq wizarat dakhla ne Snapchat ke Account par ek Video clip jari kiya hai jis mein dekhaya gaya hai ke security force ke ohdedaroun ne curfew ke douran mehloun mein ghoomnay walay ladkoun aur ladkioun ko hirasat mein le leya hai aur un par curfew ki khilaaf warzi ke jrmane laga diye.

Video Riyadh ke shumali ilaqay ki hai jahan Patrolling force ke ohdedar curfew ki khilaaf warzi ko qaboo karne ke liye har muhallay ki nigrani kar rahay hain. Yaad rahay ke wizarat dakhla ne tanbeeh jari kar rakhi hai ke curfew ke douran intahi zaroorat ke tehat gharoun se nikalne ki ijazat hai. Hifazati iqdamaat ki khilaaf warzi par 10 hazaar Riyal ka jurmana hai.

 Saudi khabar-rasan idaray ke mutabiq Qassim police ke tarjuman Badar Al Sehibani ne kaha ke curfew Pass se najaaiz faida uthany walay un 2 ghair mulkioun ko giraftar kar liya gaya jo apne saathi ko chori chupay safar ki sahoolat faraham kar rahay they. Ghair mulkioun ko hirasat mein le kar public Prosecution ki tehweel mein day diya gaya. –YTN STAFF