Cape Town: Janoobi Africa ke sabiq Captain aanjhani Hansie Cronje ke bud unwani muqadma mein 21 saal ke taweel arsay baad ahem pish raft huvi hai jis ke mutabiq mobayyana satta baz 52 sala business mean Sanjeev Chawla ki Hindustan hawalagi ka faisla karliya gaya jahan usay badanwanyoun ke ilzamaat ka saamna karna padega. Wazeh rahay ke bud unwani ka ilzaam saabit honay par tahayaat pabandi ke shikaar Hansie Cronje ne 2000 mai sattay baz se raqam lainay ka aitraaf karte hue bataya tha ke unhoun ne isi saal ke aaghaz mein Durban ke ek Hotel ke bahar Sanjeev Chawla se pehli baar mulaqaat ki thi.
Hindustani police ne daawa kiya tha ke is ke paas Hansie Cronje aur Sanjeev Chawla ke darmain matches fixed karne se mutaliq guftagu ki recording mojood hai. Sanjeev Chawla par ilzaam aayed kiya gaya tha ke is ne Hansie Cronje aur satta baz ke darmain salisi ka kirdaar ada kiya aur oh 1996 usay London mein muqeem tha lekin ab usay bud unwani ke ilzamaat ka saamna karne ke liye Hindustan wapas bheja ja raha hai.
Reports ke mutabiq Sanjeev Chawla ne guzashta 4 baras ke douran Hindustan hawalgi ke faislay kay khilaaf jung ladi lekin ab usay court of appeal ke faislay ke tehat Hindustan wapsi ka hukum diya gaya hai aur is hawalay se Dehli police ki jald London aamad mutawaqqa hai jahan se Sanjeev Chawla ko hirasat mein le kar 20 Feb ko Hindustan le jaya jaye ga jisay 2016 mein giraftari ke baad Delhi Jail mein jaan ke khatray ke pesh e nazar London mein qaid rakha gaya jahan is ki ahliya aur 2 bachay bhi muqeem hain. –YTN STAFF