Trending News

Covid ke khilaaf jasoos kuttay,Saudi ko behtar nataij ki umed

By News Desk Roman Urdu

August 04, 2020

Riyadh: Saudi Arab mein bhi Airports aur sarhadi chokion par corona mutasireen ka pata laganay ke liye tarbiyat yafta jasoos kuttay ki madad li jaye gi jo apne soonghnay ki hiss se ye maloom kar saken ge ke anay wala musafir corona se mutasir hai ya nahi.

Hewani wasail markaz ke Director Abdullah Al Saloom ke interview ke hawalay se bataya hai ke hewani wasail ko istemaal karte hue ahem tareen cheezon ka suraagh lagaya jata hai. Is hawalay se mehakma custom kaafi arsay se jasoos kutton ko mukhtalif mamlaat mein istemaal kar raha hai jis ke khaterkhah nataij bar aamad hue hain.

Markaz ki janib se Covid-19 ke mareezon ka pata laganay ke liye kuch arsa qabal jasoos kutton ko tarbiyat di gayi jis ke khatir khuwa nataij bar aamad hue hain. Qaumi markaz mein shoba training ke Supervisor ne kaha hai ke makhsoos nasal ke jasoos kutton ko coronavirus ke hawalay se tarbiyat di gayi hai. Un kutton mein soonghnay aur shanakht karne ki hiss kaafi taiz hoti hai jis ke zariye fori nataij samnay atay hain.

Makhsoos kutton mein soonghnay ke 125 million khaliye hotay hain aur ye 40 feet zair zameen boo ko bhi sungh satke hain. Un jasoos kutton ko mazeed tarbiyat day kar matlooba nataij haasil kiye ja satke hain. Sarin Isna mehakma custom mein aman aama ke umoor ke Director Abdul malik ne kaha ke police ke zair istemaal jasoos kutton ke zariye coronavirus ki shanakht ka tajurbah kaafi kamyaab raha. Un jasoos kutton ko bain ul aqwami parwazon ki bahaali ke baad corona mamlaat ki shanakht ke liye istemaal kiya ja sakta hai.

Unhoun ney apne Interview main mazeed kaha ke aindah ka programme jisay mehfooz wapsi ka unwan diya gaya ke douran bain ul aqwami parwaazon ki bahaali ke baad musafiron mein coronavirus ki tashkis ke liye jasoos kutton ka istemaal kiya ja sakay ga.

Is hawalay se markaz ke tehat mukhtalif nasal ke jasoos kutton ko coronavirus ke hawalay se aala tarbiyat di hai jo kaafi kamyaab rahi. Wazeh rahay ke Saudi custom nay is hawalay se Twitter Account par jasoosi ke liye makhsoos kutton ki video bhi up load ki hai jis mein inhen tarbiyat dainay ke mukhtalif marahil ko dekhaya gaya hai.