Hyderabad

Coronavirus: Hyderabad China ki madad kere ga

By News Desk Roman Urdu

March 11, 2020

Hyderabad: Haliya dinoun tak Hindustani Market mein China se kapda, Khilonay Patangen aur yahan tak ke Holi ke rangoun ka istemaal kiya jata tha tha lekin China mein Coronavirus ki waba photnay ke baad ab wo mulk Hindustan ki taraf tavajja markooz kar chuka hai aur khaas kar Coronavirus ki dawa aur ilaaj ke liye is ki tavajja Hyderabad ki simt mabzool hochuki hai. China ki nazrain is waqt Telangana ke dar-ul-hukoomat Hyderabad ki Pharma market ki taraf hai taakay wo yahan se Coronavirus ke ilaaj ke liye adwiyaat haasil.

Filhaal Coronavirus ke marz ka koi ilaaj nahi hai lekin jo afraad taiz bukhaar, Khansi aur Sardi se mutasir hai inhen riwayati adwiyaat se hi ilaaj kiya ja raha hai un halaat mein Hyderabad mein mojood Pharma Market China ke liye ek nemat saabit hora hee hai. Is waqt duniya bhar mein ek lakh se zayed afraad Coronavirus se mutasir hain jab ke jin afraad ka Test Coronavirus mein misbet nahi paaya gaya wo bhi khansi sardi zukam jo ke aam tarz ka Flow hai is se mutasir hain jin ke ilaaj ke liye liye riwayati adwiyaat kaafi miqdaar mein darkaar hain.

 Chunkay Hyderabad mein Pharma ki kaafi badi Market hai lehaza China ne Hindustan se darkhwast ki hai ke wo mukhtalif tarz ke Virus se mutasir honay walay afraad ke ilaaj ke liye jo adwiyaat banai jati hain wo China ko faraham kere. Musadeqa zaraye ke bamajab China ki darkhwast ke baad Hyderabad mein mojood Pharma Market ki chand badi Companiyon ne Drugs Control Administration se na sirf rabita kiya hai balkay China ko adwiyaat faraham karne ke liye zurori iqdamaat karne aur adwiyaat rawana karne ki ijazat dainay ki bhi darkhwast ki hai jisay qubool karliya gaya hai lehaza Hyderabad se ab padosi mulk ko adwiyaat faraham karne ka amal shuru kiya ja raha hai. Bohraan ki sorat e haal mein ab Hyderabad China ko Coronavirus se azaadi faraham karne mein apni imdaad shuru kardi hai aur umeed ki jarahi hai ke Hyderabad China ko Coronavirus se azaadi dilwanay mein apna rule ada kere ga. –YTN STAFF