Trending News

Corona Test ke liye Saudi Arab ka China se 995 Million Riyal ka moahida

By News Desk Roman Urdu

April 27, 2020

Riyadh: Saudi Arab ne Novel Coronavirus ke 90 lakh Test ke liye China se 995 Million Riyal ka moahida kiya hai. Shah Salman Bin AbdalAziz aur Wali Ahad Shehzada Mohammad Bin Salman ke hukum par ye thaika diya gaya hai.

China aur Saudi Arab ke darmain muahiday par Saudi Company NUPCO aur China company BGI ne dastakhat kiye. Saudi Arab ki janib se wazeer e sahet Dr. Abdullah Al-Rabeeah aur China ki janib se Saudi Arab mein mutayyan cheeni safeer  Chen Weiqing ne moahida par dastakhat kiye.

Saudi khabar-rasan idaray ke mutabiq thekay ke bamujab China Corona Test ke 500 cheeni maahir aur Technician 6 badi Regional laboratory aur tamam tibbi saz-o-samaan muhayya kerega. Cheeni mahireen ko mumlikat ke tamam ilaqoun mein tainaat kiya jayega. China se anay wali laboratory Saudi Arab ke har soobay ko faraham ki jayengi. China Saudi Arab ko ek Mobile laboratory bhi faraham kerega jis se rozana 10 hazaar Test kiye ja sakain ge. China Saudi shehrioun ko laboratory mein kaam karne aur Corona Test ki training dega.

Cheeni mahireen wo field Test aur yomiya Test sameit tamam umoor ki training denge. China 8 mahinay tak laboratory aur machinoun ke mo-asar honay ki zamanat dega. China ko diye gaye thekay ke tehat Saudi Arab mein Corona ke mutadid namonoun ke jeneati nizaam ka tajzia bhi China ke zimma hoga. Alawa azeen mumlikat mein 10 lakh namoonay le kar muzahmati naqshay ka tajzia bhi kiya jayega taakay Corona ki waba ke insidaad ke amal ko munazzam bananay mein reyasti Schemes mo-asar saabit hosakin. Saudi Arab aur China ke darmain tey panay wala moahida naye Coronavirus ke hawalay se poori duniya ka sab se bada moahida hai.

Saudi Testing Company America , Switzerland  aur Korea ki mutadid companiyoun se mutadid Testing system khareed chuki hai. Saudi Arab ka hadaf 14.22 million Test ka hai jis ki badolat Saudi Arab ki 24 feesad abadi ka Corona Test hojaye ga. –YTN STAFF