Trending News

Corona Selfie, Virus se mutasera Nurse ka anokha andaaz

By News Desk Roman Urdu

May 28, 2020

Cairo: Aam tor par dekha ye gaya hai ke jab bhi kisi ko ye bataya jata hai ke aap ke Corona test ka nateejah misbet aaya hai to is ke chehray ki rang ghabrahat se badal jata hai. Kayi afraad to ye soch kar pareshan ho jatay hain ke ab un ki ulti ginti shuru ho gayi hai lekin Misri Nurse (Afraaj Fathi Bakri ) ne is hawalay se mukhtalif ta-assur day kar Misri Doctors aur pooray muashray ko heran kar diya.

Tafseelaat ke mutabiq 32 sala Misri Nurse ko jab janoobi Cairo ke bani Sowef soobay mein seenay ke amraaz ke dawakhana ke Director ne mohtaat lehjey mein ye bataya ke aap ko chand roz Quarantine mein guzaarne honge to Nurse ke chehray ki rangat nahi badly balke unhoun ne kaha ke mujhe ehsas tha ke corona test ka nateejah misbet hi aeyega aur mein is ke liye zehni tor par tyaar thi.

Nurse ne fori tor par dawakhana ke Director ke sath Selfie banai aur social media par shaya kar di. Afraaj Fathi Bakri 16 din Quarantine mein guzaar kar phir dawakhana mein corona ke mareezoun ki khidmat ka ijazat nama milnay ki muntazir hain. Misar mein 100 se ziyada tibbi amlay ke afraad virus ki zad mein aachukay hain. Un mein se 10 ki mout bhi waqay hochuki hai. Afraaj Bakri ne kaha hai ke mein manti hon ke mout ka ek din muqarrar hai. Mout kahin bhi aur kisi terhan bhi askati hai. Mujhe yaqeen tha ke ghar waloun ko jounhi mere corona mein mubtala honay ki ittila mileygi to sab pareshan ho jayenge. Wo pehlay se hi is baat ke mukhalif thay ke mein corona ke mareezoun ki dekh bhaal kar rahi hon.

Afraaj ne apni guftagu ka silsila jari rakhtay huve kaha ke ghar waloun ka khauf theek tha kyunkay khud mere sath kaam karne wali Nurses aur Dr bhi hifazati libaas ki qillat ki wajah se khadshaat ka shikaar thay aur hain. Afraaj ne bataya ke jab ghar waloun ka dabao badha to dawakhana ki intizamia se darkhwast ki ke meri rahaish ka intizam medical center mein kar diya jaye taakay virus ghar muntaqil nah ho aur ghar waloun se keh diya ke mujhe dawakhana ki taraf se hukum mila hai ke rahaish dawakhana mein hi rakho. Corona ke mareezoun ki dekh bhaal nah karne ki soorat mein dawakhana waloun ne mujhe bar tarf karne ki dhamki bhi di hai. Ghar walay ye sun kar majaboor ho gaye aur is terhan mujhe Corona ke mareezoun ki khidmat ka mauqa mil gaya. –YTN STAFF