Dubai: Coronavirus ki wajah se jahan duniya ibtidayi marhalay mein bemari se pareshan hai to dosray marhalay mein muashi bohraan se mazeed masail samnay anay ki khadshaat zahir kiye jarahay they lekin lagtahe is ke chand ek nuqoosh manzar aam par arhay hain kyunkay ab muashi bohraan ki wajah se khudkushi ke waqeyat manzar aam aara hay hain lekin herat karne wali baat ye hai khudkushi ke ibtidayi waqeat mein koi ghareeb apni jaan nahi day raha hai balkay muashi tor par jinhen ameer tareen afraad mein shaamil kiya ja sakta hai waisay loog zindagi ki baazi haar rahay hain aur ab ek aisa hi ek waqea Dubai mein pesh aaya hai jahan ek maroof tajir ne buland imarat se kood kar khudkushi karli hai.
Dubai Police ke Director Abdullah Khadim Suroor Al-Masom ne kaha hai ke maroof Hindustani tajir ne maali bohraan se dochar honay par khudkushi karli. Al-Masom ne khudkushi ke waqea par roshni daaltay huve kaha kay waqea ki ittila meltay hi Police ne zurori qanooni karwai ki hai. Tamam mutaliqa temen tajir ke Flat poanch gayeen. Aynee shahideen ke bayanaat se maloom huwa ke tajir apne ek dost ke Flat se Tower ki 14 we manzil par gaya aur wahan Balcony se chhalang laga kar khudkushi karli.
Police ohdedar ne wazeh kiya ke Hindustani tajir ki mout khudkushi ka hi nateeja hai is mein kisi jurmana file ka shuba nahi. 54 sala Joy Arakkal tajir tijarat o sanat ki duniya mein bada naam tha. Ye Hindustan ke baher bhaadi sarmaya kaari kiye huva tha. Media ki Report mein ye bhi likha ke Joy Arakkal ne Dubai mein mamooli Accountant ki hesiyat se apni zindagi ka aaghaz kiya aur phir rafta rafta azeem al shan tijarti aur sanati saltanat qaim karli thi.-YTN STAFF