Slider

Corona ke masla par barhami ke baad High Court ki samaat

By News Desk Roman Urdu

July 28, 2020

Hyderabad: Telangana mein Coronavirus ke mamlaat ke silsila mein High Court mein samaat ki gayi. Covid ke masla par guzashta chand kuch chand din qabal daakhil kardah mafaad aama ki aarzion ko mila kar un ki samaat ki gayi. Riyasat ke Chief Secretary Somesh Kumar, Mehakma sehat aama ke ohdedar Srinivas Rao, DMO Ramesh Reddy Secretariat se ba zarea Video Conference samaat mein haazir huve. Is mauqa par adalat ney is ki janib se diye gaye ehkaam par amal nah karne par adam itminan ka izhaar kiya.

Is barhami ke baad mehakma sahet ki janib se jari kiye janay walay Media Bulletin mein baaz tabdeelian ki gayi hain. Containment ilaqoun sameit omar ki bunyaad par misbet mamlaat ki tafseelaat is Bulletin mein di gayi hai. Adalat ne kaha ke ICMR ke rehnumaiyana khutoot ke mutabiq misbet paye gaye afraad ko jin se ye bemari aayi hai, Is ki nishandahi ki jaye, Jin afraad ki jaanch ki gayi hai un ki tafseelaat faraham nah karne par bhi adalat ne narazgi ka izhaar kiya aur sawal kiya ke doosri reyastoun ki bah nisbat Telangana mein Corona jaanch ki tadaad mein kami kyun hai? Bench ne sawal kiya ke jin afraad se ye Virus phela hai un ke kitney muanay kiye gaye? Adalat ne ye bhi poocha ke aaya Gandhi Hospital mein Corona ki jaanch ki jarahi hai ya nahi? Adalat ke sawalaat ka jawab dete hue Chief Secretary ne kaha ke riyasat mein kam tadaad mein corona ki jaanch ki jarahi hai. Unhoun ne kaha ke Corona ki jaanch ke amal mein taizi pida ki jaye gi.

Adalat ki hidayat ke mutabiq tafseelaat faraham ki jarahi hain. Unhoun ney kaha ke hukoomat har Bulliten mein Oxygen ki sorat-e-haal par masayi ka bhi zikar hai. Markaz ke rehnumaiyana khutoot mein waqtan foqtan tabdeeli aa rahi hai. High Court ki hidayat ko awleen tarjeeh di jarahi hai. Corona ki rokk thaam ke liye jaanch, Sarkari Hospitals mein tibbi khidmaat, Private Hospitals mein Fees ki vasuli aur deegar umoor par daakhil kardah 15 arzion ki samaat High Court ney ki.