Hyderabad

Congress ney double bed makanaat ki takmeel par shadeed shak shubhat ka izhaar kya

By News Desk Roman Urdu

August 31, 2019

Hyderabad: Congress Party ney hafta ke roz TRS hukoomat ki section housing scheme ke tehat double bed makanaat ki takmeel par shadeed shak o shubhat zahir kya hai. Aur mutaleba kiya hai ke reyasti hukoomat har zila mein aqliton ke liye un ki abadi ke tanasub se kota badh hade. Telangan Pradesh Congress Committee (TPCC) mehakma aqliati ke Chairman Sheikh Abdululla Sohail ki sarbarahi mein, Congress ke senior rahnumaon ka wafad, jis mein sarkari tarjuman Syed Nizamuddin, Hyderabad City aqliati mehakma ke Chairman Sameer Waliiullah  aur deegar shaamil they, housing corporation ke MD Chitra Ram Chandra ke daftar gaye. aur numaindagi ki copy daftar mein jama karwai.

Baad azan media numaindon se guftagu karte huwe Abdul Allahullah Sohail ney kaha ke reyasti hukoomat ney ab taq 31 azlaa mein 2,80,616 double bedroom makanaat ki manzoori di hai. un mein se sirf 16,370 unit mukammal huwa hai. Unhon ney kaha ke congress qaideen riyasat 2BHK tamirat ki asal hesiyat haasil karne ke liye cheif secretary, housing corporation ke chairman ya principal secretary se milna chahtay hain.

Abdululla Sohail ne kaha ke greater hyderabad municiple corporation mein musalmanoon ki sab se ziyada tadaad hai aur Khammam mein musalmanoon ki abadi sab se kam hai. isi terha esaion ki sab se ziyada abadi hyderabad mein hai aur un ki kam abadi Adilabad mein hai. lehaza, tamam azlaa ke liye yaksaa reservation policy apanee nahi ja sakti. 2011 ki mardum shumari ke mutabiq, hyderabad mein musalman abadi 40% ka se ziyada hain. Sikhoon aur Jain ki bhi shehri ilaaqon mein kaafi tadaad mein abadi hai. lehaza, hyderabad mein OBCHHC ki hudood mein anay walay Ranga Reddy, Medchal aur Sangareddy mein bhi zaat paat ki fori nazar sani ki zaroorat hai.

Lehaza, congress leader ne kaha ke reyasti hukoomat ko 2BHK units ki allotment mein aqliton ke liye reservation feesad par nazar sani ke liye zurori iqdamaat karna chahiye. unhon ne kaha ke reservation feesad har zila aur assembly halqa mein aqliton ki abadi ke tanasub se hona chahiye. is mauqa par TOPCC ke secretary Sajid Shareef, Ranga Reddy district aqliati mehakma ke Chairman Mohammad Riyaz aur deegar mojood they.