Hyderabad

Congress ne aqliyati colleges ko band karane ka TRS hukoomat par lagaya ilzaam

By News Desk Roman Urdu

August 21, 2019

Hyderabad : Congress party ne pichle paanch saloun ke douran Telangana mein 64 aqliyati Engineering , intizamia, MCA aur pharma colleges ko band karwanay ka TRS hukoomat par ilzaam aed kiya hai. aur is ne yeh bhi mutalba kiya hai ke un awamil ki tehqiqaat ke liye ek azad commission qaim kiya jaye.

Chaharshambe ke roz Gandhi Bhavan mein Hyderabad congress committee aqliyati mehakma ke chairman sameer wali Ullah ke hamrah press conference se khitaab karte hue, Telangana pradesh congress committee ( TPCC ) ke tarjuman syed nizaam Uddin ne kaha ke TRS hukoomat ke baad se hi Telangana mein niji ghair madadgaar aqliyati idaroun ki tadad mein numaya kami waqay hui hai. party 2014 mein Iqtidaar mein aayi. all India council baraye technical education ( AICTA ) ke adaad wo shumaar ka hawala dete hue Nizam Uddin ne bataya ke Engineering  and technology colleges ki tadaad 2014-15 mein 56 se kam hokar 2019-20 mein 32 hogayi hai. iska matlab hai ke TRS ke tehat 24 aqliyati Engineering college band ho gaye hain .

Isi tarha 17 managment college band ho gaye hain jin ki tadaad 2014-15 mein 67 thi. jis se kam hokar kar 2019-20 mein 50 ho gayi hai. mazeed yeh ke pichlle paanch saloon mein 19 MCA aur 3 pharma aqliyati college bhi band ho gaye hain.

Nizam Uddin ne kaha ke ” k Chandra shekhar rao 2014 mein ke GCPG tak muft taleem sab ke liye, ke naaray ke sath Iqtidaar mein aaye they. unhon ne mulazimat aur taleem mein bhi musalmanoun ko 12 feesad Reservation dainay ka wada kiya tha. aur musalmanoun ne is par yaqeen kiya aur TRS ko vote diya. bad qismati se TRS hukoomat ne RSS aur BJP  ke posheeda agenday ko nafiz kiya aur guzashta paanch saloon mein aqliyati idaron ko nishana banaya.

Unhon ne ilzaam lagaya ke ”fees muawza scheme“ par amal Dar aamad nah karne aur Scholarship ki wajah se aqliyati talba ko aala taleem ke husool se hosla shikni ki gayi. TPCC tarjuman ne nishandahi ki ke AICTE  ke adaad wo shumaar ke mutabiq, pichlle paanch saloon mein 41 private ghair madadgaar idaray band kar diye gaye. Telangana mein 2014-15 mein 117, private ghair madadgaar, AICTE ke Manzoor shuda idaray they. Lekin 2019-20 mein sirf 76 idaray mojood hain.

Colleges mein intake ko har saal badhana chahiye, lekin Telangana mein, intake 2014-15 mein 57, 536 se kam hokar 2019-20 mein sirf 32, 517 ho gayi hai. intake mein 25, 019 nashiston mein kami waqay hui hai. jo 43 feesad se ziyada hai. passing out rate bhi 2012-13 mein 47 feesad se kam hokar 2018-19 mein sirf 39 feesad reh gaya hai .

Unhon ne kaha ke placement haasil karne walay talba ki osat tadaad mein bhi numaya kami waqay hui hai. congress qaied ne ilzaam lagaya ke fees muawza ki baqaya raqam Manzoor nah karkay TRS hukoomat ne niji aqliyati colleges ko maali bohraan kisay do chaar kiya hai. jis ka nateeja bal-aakhir un ke band honay ki wajah bana. Scholarship nah dainay se KCR hukoomat ne aqliyati talba ko aala taleem ke liye jaaney mein hosla shikni ki.

Unhon ne kaha ke niji aqliyati colleges mein bhi enrollment ka tanasub kam ho gaya hai. 2014-15 mein 41. 7 feesad se kam hokar 2018-19 mein yeh sirf 36. 51 feesad par agaya .

Unhoun ne kaha ke BJP ki zair-e-qayadat NDA hukoomat ke tehat qaumi satah par sorat-e-haal kuch mukhtalif nahi hai. unhon ne kaha ke sarkari adaad vo shumar ne TRS ka asal chehra aur is ke aqliton se mukhalfat ko be naqaab kar diya hai. agar TRS hukoomat aqliton ke liye waqai mukhlis hai to phir usay niji aqliyati colleges ko band karne ke zimma daar awamil ki tehqiqaat ke liye azad commission muqarar hoga. pichlle paanch saloon mein intake mein kami ke peechay, indraaj ke tanasub mein kami ke peechay ke asbaab, ka pata lagana hoga. aur aqliyati colleges mein paas feesad kam honay ke zimma daar aur is baat ka pata lagana hoga ke niji aqliyati colleges ke talba ko manasub jagah kyun nahi mil rahi hai. –YTNSTAFF