Hyderabad : Congress party nay GHMC hukkam ko un ki Adam tawajhi par tanqeed ka nishana banaya hai, jiski wajah se Hyderabad wo Secunderabad mein Dengue aur malaria aur deegar viral bimariyoun ki waba phail gayi hai.
Hyderabad City congress ( mehakma aqliyati ) ke Chairman Sameer Wali ullah ki sarbarahi mein, TPCC ke tarjuman syed Nizam Uddin, Sajid shareef aur deegar par mushtamil congress rehnumao ki ek team nay hafta ke roz Nallakunta mein institute of Preventive Medicine (Fever Hospital) ka doura kiya, aur mutasirah mareezon se mulaqaat ki. dengue, Malaria , viral bukhaar aur deegar viral Bimariyoun se mutasirah mazreezoun se baat cheet ki aur un se ilaaj aur hospital mein inhen darpaish mushkilaat ke baaray mein daryaft kya. unhon nay ghareeb mareezon mein phal taqseem kiye aur maali imdaad bhi ki.
Baad azan media numaindon se baat karte hue Sameer Wali ullah nay kaha ke poora shehar mah June se viral Bimariyoun khusoosan dengue ki lapait mein hai. sarkari wo niji hospitals mein is bemari se mutasirah senkdon mareez dekhnay mein aarhay hain. unhon nay kaha ke dengue aur deegar Bimariyoun ke phelnay ke bawajood, GHMC hukkam nay un ke phelao ko roknay ke liye Bar waqt amal nahi ki hai.
TPCC ke tarjuman Syed nizam Uddin nay nishandahi ki ke riyasat Telangana bhar mein 20 august tak dengue ke 1, 687 muamlay samnay aaye hain. unhon nay kaha ke yakam June se 24 august tak teen laakh se ziyada afraad mukhtalif Bimariyoun se mutasir hue hain. is tashweesh-naak sorat-e-haal ke bawajood wazeer-e-aala KCR nay mehakma sahet ke ohdedaron ke sath ek bhi jaiza ijlaas munaqqid nahi kiya.
Unhon nay mazeed kaha ke wazeer-e-sahet Etela Rajendra bhi party ki rukniat saazi muhim mein masroof the. congress qaideen nay kaha ke dengue aur Malaria se mutasirah mareezon ki ek badi tadaad qabil-e-rasai aur behtar sahuliyaat ki wajah se niji hospitals ka dora kar rahi hai aur ilaaj ke liye taqreeban 10 ta 15 hazaar rupaye tak kharch karne par majboor hai. Sameer Wali ullah nay mutalba kiya ke sorat-e-haal par qaboo panay ke liye reyasti hukoomat jungi bunyadon par iqdamaat kare. –YTN STAFF