Trending News

Choroun ki janib se khudayi ke baad tareekhi deewar daryaft

By News Desk Roman Urdu

July 06, 2020

Cairo: Misar mein police ne choroun ka taqub karte hue Al-Qasr mein ek tareekhi maqam daryaft kar liya. Tafseelaat ke mutabiq Misri media ne tareekhi maqam ki daryaft ke hawalay se bataya ke chor ek ghar mein apne tor par khudayi kar rahay they. Ghar un mein se ek ki malkiat thi.

Mehakma Assaar-e-Qadima ki police ko jab is ki ittila mili to ghar ka muhasra karkay is ki talashi li gayi. Assaar-e-Qadima ki talaash mein khudayi karne aur nuwadar chori karne waloun ko giraftar karliya gaya. Misri media ke mutabiq choroun ne ghar mein daira numa khandaq banai huvi thi. Jis ke aakhir mein 2 rastay jarahay thay. Shumal mashriq ki janib 3 meter ki khandaq thi. Wahan matti walay pathar ki ek deewar bani hui thi.

Deewar par Fra-aana ki zabaan Hiroghalifi mein tahreerein kunda theen. Mukhtalif qisam ke nuqoosh banay hue they. Doosri khandaq maghrib ki janib 2 meter taweel thi. Is ke aakhir mein pathar ki 2 diivaaren bani huvi theen. Un mein se ek par Hiroghalifi mein numaya nuqoosh banay hue they. Rangeen naqsh aur shakalain bhi murtasam theen. Deewar par Shah Batlemoos ka naam aur asna pooja ghar ki badi devi niyat ka poora naqsh bana huwa tha.

Mahireen Assaar-e-Qadima neh tareekhi maqam ka muaina karkay kaha ke yahan jo deewar daryaft huvi hai is ka mahireen ko pehlay se koi ilm nahi tha. Deewar par Hiroghalifi zabaan mein tahreerein, nuqoosh aur shakalain Batlami daur ki hain. Ye deewar ek terhan se Asna pooja ghar ka towsee shuda hissa hai. Asna pooja ghar naye daryaft shuda maqam se 200 meter ke faaslay par waqay hai.