Slider

China mein corona ke naye mamlaat se tashweesh ki lehar

By News Desk Roman Urdu

June 16, 2020

Beijing: China mein bhi mangal ko muqami satah par coronavirus ke mazeed 27 mamlaat samnay aaye hain. guzishta roz bhi china mein kayi naye mamlaat samnay aaye jinka talluq ek Wholesale food market se bataya ja raha tha.

China ke dar-ul-hakoomat beijing mein naye mamlaat samnay anay ke baad aalmi idaara sahet neh tashweesh ka izhaar kiya tha aur is baat par zor diya tha ke un mamlaat ki tehqiqaat ki jaye aur aur test kiye jaye.

Un naye mamlaat ke samnay anay ke baad Beijing mein coronavirus ke mareezon ki tadaad 106 hogayi hai. hukkaam ne beijing mein 20 ilaqoun ko band kiya hai aur hazaron ki tadaad mein logon ke test bhi kiye jarahay hain. Naye mamlaat samnay anay ke baad tamam khelon ke events aur tafrehi maqamat ko band kar diya gaya hai. itwaar ko cheeni hukkaam ne kaha ke ab tak coronavirus ke tamam mamlaat ka talluq zefadi market se hai, 30 May se 2 laakh logon is market mein gaye hain.

Is market ke 8000 se ziyada mulazmeen ke test kiye gaye hain jabkay unko markazi qarantina marakaz bheje gaye hain. China mein naye mamlaat samnay anay se pehlay beshtar mamlat un afraad ke report hue hain jo mulk wapas aaye hain. mangal ko bhi mazeed 8 berooni afraad ke mamlaat darj hue hain. –YTN STAFF