Health

Chheenkte waqt hamari ankhen band kyun ho jati hain

By News Desk Roman Urdu

December 04, 2019

Hyderabad: Chheenk ke mutaliq kayi baten kahi jati hain koi usay marz ki nishani kehtahe to koi usay sahet ki nishani batata hai lekin is ke mutaliq jahan kayi baten kahi jati hain wahein ye haqeeqat bhi hai ke Chheenkte waqt hamari ankhen zaroor band hojati hain jis ki wajah ka aaj tak ilm nahi ho saka.

Sardi mein nazla, Zukam ya kisi allergy ki soorat mein cheenkain aana mamool ki baat hai, Chheenkte waqt 160 kilometer ki raftaar se hamaray naak ki mukhtalif ratWiubatu par mushtamil 5 hazaar qatre jism se kharij hotay hain taham ek ghortalab baat ye hai ke Chheenkte waqt hamari ankhen kyun band ho jati hain.

Tehqeeqi report ke mutabiq mahireen ne kaha hai ke chheenk ane ki soorat mein hamari aankhoun ke ird gird mojood pathay ( Muscles ) harkat mein atay hain aur hamari ankhen band ho jati hain. Aisa jism mein mojood khudkaar hifazati nizaam ke tehat hota hai jis ka maqsad jism se kharij hone wali ratunatu se ankhoo ko mehfooz rakhna hai.

Is hawalay se ek mazhaka khaiz khayaal bhi aksar logoun ke zehen mein suni sunai batoun ki had tak mojood hai jis ke mutabiq agar Chheenkte waqt ankhen khuli rakhi jayen to dide baher girsakte hain. Taham Science danoun ne kaha hai ke ankhen band hone ki sad feesad wajohaat to maloom nahi ho saken taham naak ki ratubatoun ke sath hazaroun gerasims ke ikhraj se ankhoun aur naak ku bachana hi un ke band hone ka sabab ho sakta hai. Jitne zehen itne khayalat lekin is haqeeqat se kisi ko inkaar nahi ho sakta hai ke Chheenkte waqt ankhen kholne rukne ki har mumkina koshish nakaam hoti hai. –YTN STAFF