Hyderabad

Charminar walo! Apni tehzeeb aur mazhab ko badnam mat karo

By News Desk Roman Urdu

April 17, 2019

Hyderabad: Duniya ke kisi bhi kone may jab sheher-e-Hyderabad ka naam lia jata hai to zehno may yaha ki tareeqi imaratoun may sab se pehle Charminar ke Nuqush ubharne lagte hai, jis ke baad Hyderabad ki mezbani aur Biryani ki Taraf Tawajo jati hai. Tareeqi imarat Charminar bhale he duniya ke 7 Ajaayebat may shamil na ho lekin is ke Bawajud ye imarat kisi bhi lehaz se maqbool tareen tareekhi imaratoun may ba-asani shumar ki jati hai.

Charminar  ke nazare ke liye duniya bhar se log yahan pahunchte hain aur apne sath yahan ki Khushgawar yaden apne sath le jatay hain, yahi wajah hai ke aadhi raat guzar jaaney ke bawajood jahan Charminar  ke daman mein mukhtalif dukanain apni aabb wo taab par khuli rehti hain to wahein Charminar  ke daman mein muqami aur berooni sayaho ki ek badi tadaad mojood rehti hai jo kay is tareekhi imarat ki khoubsurti, dil kashi aur fun taamer ki shahkari se lutf andoz hoti rehti hai, jabkay chandni raton mein Charminar  ke daman mein Selfies lainay walon aur saalgirah ki tqarib mananay walay nojawanon ki ek badi tadaad mojood rehti hai. is ke alawa Charminar  ke daman mein khusi ke apne lamhaat ko dost wo ahbaab aur afraade khandan ke sath yadgar bananay aur cake kaatnay ka rujhan bhi kaafi badh chuka hai .

Charminar  ki ahmiyat aur sayaho ki yahan kaseer tadaad mein aamad se qata nazar ek takleef da pehlu yeh bhi hai ke Charminar  ke daman mein mojood dokaan daaron ki la parwahi aur kahili ki wajah se ek manfi pegham duniya bhar ko ja raha hai. guzashta raat raqam al hurof ka apne dost aur Poone se aaye unke ek tijarti dost ke sath Charminar  jaaney ka ittafaq hua lekin yeh ittafaq ek talakh tajurbah saabit hua hai .

Charminar  ke qareeb mojood armaan hotel mein raat ka khana khanay ke baad jab hum teen dost chaar minaar ki tareekhi imarat ka nazarah karne paidal hi gulzaar House se Charminar  ki taraf jab agay badhanay lagey to kuch manazair dekh kar kaafi takleef hui. kyunkay dukandaron ne apni apni dukanon ke samnay sadak par jagah jagah kachra aur plastic ke bags daldiye hain. Charminar  ke bilkul samnay jo dukanain mojood hain woh dukanain darasal Quran-e-Majeed aur arbi kitabon ke alawa deegar ahem mazhabi kitabon ki farokht ke liye qaim barson purani dukanain hain, lekin un dukanon ke samnay plastic ka kachra yahan pounchanay walay muqami aur bairooni sayaho ko ek manfi pegham day raha hai, halaanke hyderabad badshahon aur nawabon ka shehar hai .

Badshahon aur nawabon ki yeh bilkul shaan nahi ho sakti ke woh apne ghar aur aangan ko khud hi koda kirkit se ganda karte hue bairooni duniya ko yeh pegham den ke hydraabadi awam saaf safai ka khayaal nahi rakhtay. hydraabadi tahazeeb maizbani ke liye mashhoor honay ke alawa mazhab-e- islam jis ne paki aur safayi  ko aadha imaan qarar diya hai lekin islam ko maan-ne walay un dukandaron ki danista ya danista tor par ki jaaney wali is harkat se yaqeenan Charminar, hydraabadi tahazeeb aur mazhab islam ki ghalat tasweer paish horahee hai aur hyderabad ki shandaar tahazeeb ka ghalat pegham duniya ko ja raha hai. zaroorat is baat ki hai ke Charminar  ke daman mein mojood dukandaron ko apni tijarat ko farogh dainay ki koshish ke sath apni dukaan ke atraaf ke hissay ko saaf suthra rakhtay hue duniya bhar ko ye pegham dena hoga ke nah sirf hydraabadi awam mohazab hai balkay islam paki ka khayaal rakhnay ki taleem dainay wala mazhab hai aur is mazhab ke pairokaaron ki zindagi aur amli kaam bhi paki ka tarjuman hai .- YTN STAFF