Hyderabad : Riyasat Andhra pradesh ke sabiq chief minister Chandra babu naidu ki ghar par qaid karne ki harkat hukoomat ki janib se phir ek martaba is ke khilaaf aawaz buland karne ki Padaash mein ki jaanay wali karwai hai jo kay ghair dastoori aur ghair jamhori amal hai.
Aisa pehli martaba nahi ho raha hai ke hukoomat ke khilaaf aawaz uthany walay kisi party ke sadar aur iske qaideen ko gharon par qaid kiya ja raha hai jaisa ke aaj TDP ke sadar Chandra Babu naidu aur unke betay nara lokesh ko gharon par nazar-band kardiya gaya hai balkay Kashmir ka maamla hamaray samnay hai.
Babu ko ghar par nazar band is liye kardiya gaya kyunkay unhon ne Chalo Atmakuru programme ki appeal ki thi. Babu ka muaqqaf hai ke unhon ne Chalo Atmakuru cover programme ke liye aawaz lagai thi jis par hukoomat ne unki aawaz dabanay ke liye nah sirf inhen is programme se door rakha hai balkay gharon par nazar band kardia hai jo kay afsoosnaak iqdaam hai. Babu ko tareekh mein kabhi aisay halaat ka saamna karna nahi pada tha jaissa ke ab inhen betay ke sath ghar par nazar-band kardiya gaya hai.
Sab se pehlay yeh jaan lena bhi zurori hai ke Babu ka aakhir yeh Chalo Atmakuru cover programme kiya hai. atmakuru mein 120 ST khandan camps mein muqeem hain aur un afraad ko ghiza ke alawa deegar bunyadi sahuliyaat bhi faraham nahi ki jarahi hain jis par Babu ne 540 mutasirah khandano aur unke dehaton tak wapsi ke liye yeh jad-o-jehad shuru ki hai.
Chandra Babu naidu ki janib se senkdon khandano ke afraad ko raahat pohanchanay ke liye ki jaaney wali koshish ke bar-aks hukoomat ne inhen unke betay ko gharoun mein nazar-band kardiya hai.
Babu aur unke sathiyon ko ek police stations se dosray police station muntaqil kiya jata raha. kisi bhi qaied ki janib se awam ke liye ki jaaney wali koshish ko opposition ki saazish bata kar ghair dastoori kaam kiya jana aaj hindustan mein aur khaas kar modi hukoomat ke liye ek fashion ban chuka hai.
Chandra Babu naidu ne chalo atmakuru programme ko nakaam bananay ke liye inhen ghar par jo nazar-band kiya gaya hai is par shadeed barhami aur mayoosi ka izhaar kiya hai jo ke fitri rad-e-amal bhi hai jabkay unhoun ne un azaim ka izhaar bhi kiya hai ke woh dekhna chahtay hain ke inhen kitney dinon tak is terhan qaid kiya jata hai.
Chandra Babu naidu jo kay Amaravati ke aaindah wali mein moujood apne ghar se jab ehtajaji Rally ke liye nikal rahay to reyasti hukoomat ki janib se un par halaat sakht kardiye gay jaisa ke police ne inhen ehtajaji rally ko munazzam karne ki ijazat nahi di.
Babu ke khilaaf jo karwai ki gayi hai woh yakheeni tor par ek ghair jamhori aur ghair dastoori amal hai lekin Kashmir ke waqea ke baad ab aisay halaat mamool bantay jarahay hain kyunkay barsir iqtedar jamaten modi aur RSS ke nazriaat ko farogh dainay mein is had tak agay nikal chuki hain ke inhen jamhoori aur dastoori taqaddus ko pamaal karna bhi aib dikhayi nahi day raha hai.
Jamhoriat ke aaghaz se qabal jab hindustan ki azaadi ki jad-o-jehad ki jarahi thi to is waqt bhi hukoomat ke khilaaf aawaz uthane walay leadron ke sath aisa hi sulooq kiya jata tha aur wohi maazi ki tareekh is waqt phir ek martaba hindustan mein duhrai jarahi hai.
Babu ke waqea se qabal waadi Kashmir mein aisay waqeat manzar-e-aam par aachukay hain jahan article 370 ko khatam karne se pehlay hi waadi Kashmir ke siyasi leadron ko hi nahi balkay poori waadi Kashmir ko gharon mein muqeed kardiya gaya aur –apne is zulm o jabar ko yeh kehte hue sahih bitanay ki koshish ki gayi ke yeh jo iqdamaat kiye gay hain woh waadi Kashmir mein aman wo Amaan ke halaat ko barqarar rakhnay ke liye kiye gay hain lekin sawal yeh peda hota hai ke waadi Kashmir ko mukammal qaid khanah banatay hue kis tarhan aman wo Amaan qaim kiya ja sakta hai.
lakhoun kashmiri awam bunyadi zaroriat ke liye pareshan hain jahan roti, kapda jaisay bunyadi masail ke alawa awam ko adwiyaat ke husool ke liye bhi pareshani ka saamna karna pad raha hai.
Gharon par nazar-band karna is waqt modi hukoomat ka ek naya fashion ban chuka hai kyunkay jo koi party ya siyasi qaied unke khilaaf aawaz uthata hai ya awam ke masail jo kay hukoomat ki janib se nazar andaz kardiye gay hain unko uthane ki koshish karta hai to nah sirf is par taaqat ka istemaal kiya ja raha hai balkay usay gharon par hi qaid kardiya ja raha hai.
Halaat aisay ho chukay hain ke maa ko beti se aur baap ko betay se mulaqaat karne ke liye adalat par dastak dainee par rahi hai. awam ke zehnon mein Tarigami ka waqea hanooz taaza hai kyunkay inhen bhi nah sirf ghar par qaid kardiya gaya tha balkay ilaaj ke liye bahar jaanay ke liye bhi inhen ijazat leni padi thi. –YTN STAFF