Sydney: Hindustan ae aur Australia ae ke mabain gulaabii gaind se sydney mein khailay gaye dosray practice match ke pehlay hi din hindustani team sirf 194 ke score par simat gayi jis mein 55 runs ka taawun to fast Bowler jasprit bumrah jabkay ka raha Shubhman Gill ne 43 aur prithvi shaw ne 40 runs banaye. Jawabi inning mein hindustani bowlron ne bhi shandaar bowling ka muzahira karte hue maizban team ko sirf 32 over may 108 runs par dhair kardiya. Hindustan ke liye Mohammed Shami ,Navdeep saini ne fi kas teen khiladioyn ko out kiya jabkay Bumrah ko do aur Mohammad Siraj ki ek wicket mili.
Jasprit ne aakhir tak batting karte hue 57 gaindon par nat out 55 runs banaye, jis mein unhon ne do chhakay aur chay chokay lagaye. Jasprit aur Mohammad Siraj ke mabain aakhri wicket ke liye 71 runs ki shiraakat se team is score tak pahonch saki.
Bumrah ne kisi bhi practice match mein pehli martaba nisf century banai hai aur yeh unka sab se behtareen score bhi ban gaya hai. Siraj ne bhi Bumrah ka sath dete hue 34 gaindon mein do chowkun aur ek chhakay ki madad se 22 runs banaye. Hindustan A ke captain Ajinkya Rahane ne is se pehlay toss jeet kar batting ka faisla kya jo sahih saabit nahi hua aur team ne Mayank Agarwal ke tor par sirf 9 runs ke score par pehla wicket ganwaa diya.
Is ke baad Shubman aur prithvi ne achay shot lagaye. dono ke beech dosray wicket ke liye 61 runs ki shiraakat hui jiske baad prithvi 40 runs banaker out hue. All rounder Hanuma vihari bhi kuch khaas nah kar sakay aur 15 runs banakar pavilion lout gaye. Pehlay practice match mein century bananay walay captain rahane ziyada der pitch par nahi thehr sakay aur woh sirf chaar runs banakar catch out hue. wicket keeper Rishabh pant ne ek baar phir mayoos kiya aur woh sirf paanch runs hi bana sakay.
Team mein dosray wicket keeper ke tor par shaamil wridhiman saha practice match mein apna khatah bhi nahi khol sakay. saha ke out honay ke sath hi Hindustan ke saat wicket sirf 117 runs par girgaye.
Mohammad Shami khatah bhi nahi khol sakay aur sifar per out hue. Navdeep saini ne bhi 27 gaindon ka saamna kiya aur chaar runs banaye. Hindustani fast bowlron ne is inning mein 81 runs banaye jis se captain virat kohli ko yakeeni tor par raahat mehsoos hui kyunkay australiyai pitches par nichli saf ke batsmans ka bhi ahem kirdaar ada hota hai. Australiya ki taraf se jarehana fast bowling karte hue shawn abbot ne 12 overs mein 46 runs par teen aur jack ne sirf aath overs mein 13 runs day kar teen wickten haasil kee jabkay harry kaan way, will sunderland , Cameron green aur mishal swap sun ne fi kis ek wicket haasil kiya.
Hindustan team ke captain kohli dosray practice match mein batting nahi ki aur woh bench par baithy rahay. Kohli ke alawa KL Rahul, pujara, Ashwin , Umesh aur kuldeep bhi dosray practice match mein nahi khail rahay hain.
Hindustan aur Australia ke darmiyan pehla test match 17 decemeber se sydney mein gulaabii gaind se shuru hona hai. Virat pehlay test match ke baad apne pehlay bachay ki paidaiesh ke liye watan lout jayenge, jiske baad ajinkya rahane team ki qayadat karenge.