Business

Budget Ka Jhatka, Share Bazaar Ko 5 Laakh Crore Ka Nuqsaan

By News Desk Roman Urdu

July 09, 2019

New Delhi : Rawan hafta Modi hukoomat ki janib se pesh kardah budget ki wajah se jahan petrol aur diesel ki qeematoun mein taqreeban 2.5 rupiye ka izafah hua jis se zindagi ki khud bakhud mehngi hogayi wahein share bazaar ko ibtidayi dodnon mein 5 laakh crore ka nuqsaan bardasht karna pada hai. share bazaar mein zabardast dabao mein sensex guzashta session ki closing se 792.82 point yani 2.01 feesad giravat ke sath 38720.57 par band hua. nifty bhi 252.55 point yani 2.14 feesad giravat ke sath 11558.60 par band hua.

Is se pehlay kaarobar ke douran sensex 900 point se ziyada gira aur NSA ke ahem Index nifty mein bhi 288 point ki giravat aayi. aam budget pesh honay ke baad lagataar dosra karobari din hai jab share bazaar itna pust hua hai. un do dinon mein sensex taqreeban 1200 point toota hai to wahein nifty 400 point neechay chala gaya hai. wahein un do dinon mein sarmaya karon ke 5 laakh crore rupay se ziyada doob gaye hain .

Rawan hafta ke ibtidayi din se hi share market mein giravat dekhnay ko mil rahi hai. pehlay qaumi share bazaar mein bikawali ke zabardast dabao mein peer ko bench mark share Index sensex 500 point se ziyada neechay aa gaya tha. NSA ke ahem Index nifty mein bhi shuruwati kaarobar mein 1. 31 feesad ki giravat darj ki gayi. Bombay stock exchange ke 30 shares par mubni Index sensex 11.45 bajey guzashta session se 581. 21 point s yani 1.30 feesad gir kar 38932. 18 par kaarobar kar raha tha. is se pehlay sensex 39000 ke nafsiati satah se neechay gir kar 38999. 50 par aa gaya jab ke session ke shuru mein sensex mamooli giravat ke sath 39476. 38 par khula tha.

National stock exchange ke 50 shares par mubni Index nifty bhi 186. 85 points yani 1. 56 feesad ki zabardast giravat ke sath 11624. 30 par kaarobar kar raha tha jab ke is se pehlay nifty 11647. 75 taq gira. session ke shuru mein nifty bhi pichlle session ke muqablay kamzoree ke sath 11770. 40 par khula aur 11771. 90 tak utha lekin bikawali ka dabao bharne ke sabab Index neechay aa gaya.

America mein pichlle hafta job data mazboot aanay se American central bank federal ke zareya sharah sood mein takhfeef ka imkaan kam honay se Asians baazaaron mein manfi rujhan raha. is ke alawa guzashta hafta jummay ko parliament mein pesh kiye gaye aam budget 20-2019 ke faislon ke baad sarmaya karon mein kashmakash ki haalat barqarar hai jis se share bazaar mein manfi rujhan dekhnay ko mila. –YTN STAFF