New Dehli : Khangi companies jahan ek janib 5G khidmaat shuru karne ki tayyari kar rahi hain wahein sarkari Tele communication company BSNL ke 4 feesad se bhi kam mobile tower 4G khidmaat faraham kar rahay hain jiska saaf matlab hai ke anay walay dinon mein BSNL tareekh ka hissa ban jayegi, is tarhan ek aur sarkari company ka khatama hojayega. muwasilat ke wazeer mumlikat Sanjay dhotre ney lok sabha mein ek sawal ke jawab mein bataya ke 31 May ko mulk mein BSNL ke 154299 towers kaam kar rahay they un mein 5921 tower 4G khidmaat faraham kar rahay hain. is tarhan fa-aal towers ki jumla tadaad mein mehez 3.84 feesad hi 4 G khidmaat day rahay hain .
Dhotre ney ek sawal ke jawab mein kaha ke hukoomat BSNL aur is unit ke MTNL ko bachanay ke liye koshish kar rahi hai. is ke nataij jald hi nazar ayenge. awaan mein diye gaye tehreeri jawab mein bataya gaya hai ke Rajasthan, maghribi bangal, shumal mashriq 2, Jharkhand, Kolkata aur andman nicobar circles mein BSNL ka ek bhi 4 G tower nahi hai. un mein Rajasthan ke alawa tamam circle mein mobile towsee mansoobay ke aathween marhalay ke tehat 4 G tower laganay ka mansoobah hai. sarkari tele communication company ke jumla fa-aal mobile towers mein 87629 yani 56. 79 feesad 2G ke haamil hain. deegar 60749 yani 39.37 feesad tower 3G se lais hain.
Yeh adaad wo shumaar batatay hain ke anay walay dinoun mein BSNL be zabtagiyoun ki wajah se band ho sakti hai. waisay BSNL mein be zaabtgi ke ek bade maamle ka pehlay hi parda faash hochuka hai aur is maamla mein kam wo besh 20 hazaar crore ki be zaabtgi samnay aayi hai jo kay mehakma tele muwasilat ( dot ) ki milkiyatoun yani imaartoun aur zamiinoun ko BSNL ko muntaqil karne se mutaliq hai. yeh idaara yun to inter-Governmental ( bain sarkari ) hai, lekin qanooni pechidgion ke sabab khamiyazah aakhir mein un BSNL sarfeen ko hi bhughatna padta hai jo umeed lagaye baithe hain ke unke network mein bhi isi tarhan ki sahulatein mileingi jo khangi Operators apne sarfeen ko day rahay hain.
Darasal poooray mulk mein dot ki aisi taqreeban 7 hazaar milkiyatein hain jin ki qeemat do se teen laakh crore rupay hai. sarkari zaraye ney kaha hai ke dot aur BSNL ke sarkardah ohdedaron ney aapsi ittehaad ke zareya is scam ko anjaam diya hai. araazi se mutaliq qawaneen ke mutabiq dot ki mlkiton ko BSNL ko muntaqil karne par mukhtalif reyaston mein stamp duty dena laazmi hai. yeh stamp duty dot ko ada karni hoti hai lekin daakhil kharij ( Mutation ) ka amal poora nah karte hue ek bhi paise ki adaigi nahi ki gayi hai.
yeh koi laparwai se hui ghalti nahi hai balkay kabeena ney 2000 may diye hukum mein aur sadar jamhooria daftar ki taraf se 2011 mein di gayi Hidayat mein aisa karne ki hidaayat thi phir bhi aisa nahi kiya gaya. zahir hai ke aala ohdedar bhi is qanooni amal ko poori tarhan jantay they. yahi sabab hai ke jab is ka inkishaaf hua to Himachal pradesh ke DGP ke hukum par dot ke mehakma tele muwasilat ( maalyaat ) ke rukan Anuradha mitra aur naib DG ( properly management ) Saurabh ke sath BSNL ke aala sathi ohdedaroun ko kirdaar ki tehqiqaat fouran shuru kar di gayi. –YTN STAFF