India

BJP Leader Ke Liye Mahatma Gandhi Pakistan Ke Baba-e-Qoum

By News Desk Roman Urdu

May 18, 2019

Bhopal: Madhya pradesh ki bhopal parlimani nishist se BJP  ki umeed waar Pragya singh Thakur ki taraf se Nathuram godse ko Muhib-e-watan bataye jane ka tanaza abhi poori tarhan thanda bhi nahi ho paaya tha ke party ke ek dosray leader ne Mahatma Gandhi ko Pakistan ka baba-e-qoum bata kar ek naya tanaza khada kardiya hai. party ki Madhya pradesh unit ke media incharge Anil Sumitra ne Facebook par apni post mein baghair kisi ka naam liye kaha hai ke baba-e-qoum they, lekin Pakistan ke baba-e-qoum. Hindustan mein to unki tarhan crores betay hue. kuch Laiq to kuch nalaiq . is barey mein sumitra ne baad mein kaha ke yeh unke zaati khayalat hain aur unka party ki zimmedaari se koi lena dena nahi hai. unhon ne daawa kiya ke woh Mahatma Gandhi ke khayalat ke scholar hain aur nazriaat ka mutalea karte hue kayi tarhan ke khayalat atay hain. unhon ne apne isi khayaal ko pesh kya hai .

Unhon ne ilzaam lagaya ke angrazo ne Hindustan ki azaadi ke baad mulk ke ek honay ke amal ke douran mahatma gandhi ko father of nation kaha tha, lekin congress ne apne faiday ke liye is lafz ka hindi mutabadil paish kar diya. unhon ne yeh bhi kaha ke Pakistan bananay mein Mahatma Gandhi ki khamosh manzoori thi aur isi liye un ke khayaal se inhen Pakistan ka hi baba-e-qoum kaha jana chahiye. is se pehlay bhopal se BJP  umeed waar Pragya Thakur ne Nathuram godse ko Muhib watan bata diya tha. is bayan par hungama honay ke baad unhon ne mafi mangi thi .– YTN STAFF