India

BJP hukoomat maeeshat ke baarey mein itni confuse kyun hai : Priyanka Gandhi

By News Desk Roman Urdu

September 12, 2019

New Delhi : Congress ki general secretary Priyanka Gandhi  Vadra ney wazeer-e-khazana Nirmala Sitharaman ke is bayan par inhen tanqeed ka nishana banaya hai, jis mein sitharaman ney kaha hai ke auto sector mein sust rawi ki wajah yeh hai ke logoyn ke Ola Uber cab istemaal karne ki wajah se nai gadiyoun ki farokht mein kami aayi hai.

Is par Priyanka Gandhi  ney tweet karte hue kaha ”Intekhabat se pehlay kaha jata tha ke ola Uber ney rozgaar mein izafah kiya hai. ab yeh kaha ja raha hai ke Ola Uber ki wajah se, auto sector neechay agaya hai. BJP hukoomat maeeshat ke baray mein itni confuse kyun hai. ?

Wazeh ho ke Priyanka Gandhi  BJP par lagatar hamlay kar rahi hain. is se qabal Uttar pradesh ke Sonebhadra ke ek sarkari school mein ”Mid-day meal may namak aur roti paish kiye janey ki khabar dainay sahafi ki giraftari par bhi Priyanka ney hukoomat ko tanqid ka nishana banaya tha.

Maeeshat mein kasaad bazari ke mamle par, unhon ney ek aur tweet mein likha ke ”Maeeshat kasaad bazari ke gehray khala mein gir rahi hai. aur lakhoun logoun ki rozi roti par talwar latak rahi hai. –YTN STAFF