India

BJP Corporater ne Ghous-e-pak ka jhanda nikaal diya

By News Desk Roman Urdu

April 17, 2019

Bangalore : BJP se talluq rakhnay walay afraad aaye din musalmanoun ke sath koi na koi jabar wo zulm ka muzahira karte hain kyunkay musalmanoun ki har cheez inhen ya to Hindustan dushman dikhayi deti hai ya phir Pakistan ka samaan dikhayi ditahe. aisa hi ek waqea Bangalore  mein paish aaya jahan BJP ke Corporater ne ghar mein mojood tanha muslim khatoon ki mojoodgi mein Pakistan ka jhanda samajh kar Ghaus-e-pak ka jhanda un ke ghar se utar dia aur sath hi muslim khatoon ko Bharat mataa ki jay bolnay par majaboor kiya halaanke is khatoon ne kaha woh Bharat mata ki jay bolnay tayyar hai lekin pehlay woh jhanda hawalay kere .

Bangalore  junoob ke umeed waar Prajul surya ke liye intikhabi muhim chalanay walay BJP ke Corporater ne is waqt tanaza khada kardiya jab unhon ne aqliati tabqa ke ek ghar se parcham ko yeh kehte hue ghalti se nikaal diya ke yeh Pakistan ka qaumi parcham hai. Corporater ne is waqt yeh parcham nikaal diya jab woh intikhabi muhim ke douran is ghar pouncha aur ghar walon ko mahswara diya ke woh Pakistan ka parcham nah lehrayin. BJP ke hamion ne makaan maalik ki janib se is baat ki ittila ke bawajood ke yeh Pakistan ka parcham nahi hai is parcham ko nikaal diya. BJP ke kaarkunon ne pehlay vande mataram bhi gaaya .

Is waqea ka video viral hua hai aur video mein saaf dikhayi day raha hai ke jab yeh waqea paish aaya to is waqt ghar mein maamar khatoon ke masiwa koi bhi mojood nahi they. is waqea par ehtijaj karte hue muqami afraad ne BJP Corporater se mutalba kiya ke woh apni is harkat par moazrat khawahi kere. is kasheedgi ko door karne ke liye BJP ke kaarkunon ne makaan maalik ko parcham wapas kardiya. jis ko baad azan musalmanoun ne ek juloos ki shakal mein naaray takbir ki goonj mein phir isi maqam par lagadiya .– YTN STAFF