Slider

Biwi aur soutelay bachoun ke liye qeemti gaadi aur samaan kharidne walay ke khilaaf muqadma

By News Desk Roman Urdu

February 05, 2020

Dubai: Dubai ki Criminal court mein Tele communication ke shoba sales se talluq rakhnay walay kheliji bashinday ke khilaaf muqadmay ki samaat jari hai jis par ilzaam hai ke company ke 15 Million Dirham maliyat ke mobile Recharging Card chura kar samaan taysh khareeda. Mulzim ne Bentley nami qeemti gaadi aur biwi ke liye Rolex ghadi ke alawa soutelay bachoun ke liye qeemti tofe bhi khareeday. Emirates today ki ittila ke mutabiq UAE mein Tele communication company mein sales ke shobay mein mutayyan Emarati ohdedar ne apni biwi aur uskay bachoun ko maroob karne ka mansoobah banaya.

Mulzim ne biwi ke pehlay shohar ke bachoun ku apni janib Raghib karne aur apni ameeri ka roab daalnay ke liye company ke 2 lakh 24 hazaar mobile Recharge Card waqtan foqtan churaye. Masroqa Cards ki maliyat 15 million Dirham batayi gayi hai. Mulzim ne masroqa card farokht kar ke un se haasil honay wali raqam se qeemti gaadi Bentley kharidi. Mulzim ke barey mein wakeel ne kaha hai ke is ki thankhowa 17 hazaar Dirham mahana hai jabkay is ka koi dosra zareya aamdani bhi nahi tha.

Mulzim ki waardaat ka inkishaaf is waqt huva jab company ne baday maali khasaray ki tehqiqaat shuru ki to maloom huva ke mulzim ne company ke hidaafs se badi maliyat ke Mobile cards mein Credit ye wajah pesh karte hue muntaqil karwaya tha ke sarfeen ne card mein balance Upload nah honay ki shikayat karte hue card lota ye hain. Mulzim ne company ki mukhtalif Branches se card mein Credit muntaqil karwaya tha. Company ki janib se mulzim ko kaam karne se rokk kar is ke khilaaf tehqiqaat shuru ki gayi to wardatoun ka inkishaaf huva.

Company ke qanooni musheer ne kaha hai ke mulzim company mein shoba Sales mai Credit Transfer ka Incharge tha jahan wusool honay walay aisay card jin mein kisi wajah se balance sarif ke mobile mein muntaqil nahi ho sakta tha inhen wusool kar ke inka jaiza lainay ke baad naye card jari kiye jatay they. Musheer ne kaha hai ke mulzim ne mukhtalif auqaat mein badi miqdaar mein istemaal shuda card ye keh kar company ke mutaliqa shobay mein jama karwaye ke un mein balance nahi hai.

Mulzim ne jama karaye gaye Cards ke aiwaz durust card wusool kiye aur inhen farokht karkay raqam wusool karta gaya. Douran tehqiqaat mulzim se jab qeemti gadiyaan aur partaysh samaan ke baarey mein daryaft kiya to is ne kaha ke biwi ka pehla shohar kaafi maldaar tha aur tamam samaan is ne apne paisoun se khredar hai. Mulzim ke baarey mein mazeed inkishaaf huva ke is apne soutelay bachoun ke liye munfarid mobile number bhi khareedar tha jis mein muft Credit bhi Transfer karta rehta tha. –YTN STAFF