India

Bilkis Bano ko 2 haftoun mein muawza dene Supreme court ka hukum

By News Desk Roman Urdu

September 30, 2019

Gujrat : Supreme court ne 2002 ke gujrat fasadaat ki mutasirah Bilkis Bano ko 2 hafton ke andar 50 laakh rupay ka muawza dene ka hukum kiya hai.

Chief justice Ranjan Gogoi ki sadarat wali bench ne reyasti hukoomat ko hidaayat di ke woh 2 hafton ke andar 50 laakh rupay ki adaigi kare, sath hi usay mulazmat aur rehne ke liye makaan faraham kare.

Bilkis Bano ne apni darkhwast mein kaha hai ke hukoomat ne usay abhi tak koi muawza nahi diya hai. Qabil-e-ghour hai ke is maamla ki guzashta samaat ke douran adalat-e-uzma ne reyasti hukoomat ko Bilkis Bano ko 50 laakh rupay ka muawza dene ka hukum diya tha.

Adalat Uzma ne Gujrat hukoomat se yeh bhi kaha tha ke woh qawaneen ke mutabiq Bilkis Bano ko ek sarkari mulazmat aur rehaish bhi muhaiya karwaye. is silsila mein adalat ne muawza ki raqam par bhi nazarsani karne se inkaar kar diya hai. mutasirah ke wakeel ne adalat ko mutala kiya hai ke Gujrat hukoomat muawza ki raqam mein nazarsani karwane ke liye adalat se rujoo honay ka mansoobah rakhti hai. taham adalat ne muawza ki raqam par nazrsani se inkaar kar diya hai.

Bilkis Bano ki janib se paish wakeel ne yeh kaha ke is muamlay mein faraiz ke tain la parwahi baratnay walay police ohdedaron ko dobarah mulazmat par rakh liya gaya hai. agarchay reyasti hukoomat ki Daleel thi ke mulzim police ohdedaron ne apni saza bhugat li hai.

Bilkis Yaqoob rasool ne adalat se yeh bhi kaha hai ke usay Gujrat hukoomat se ziyada muawza milna chahye. Bilkis Bano ki arzdasht par samat ke douran adalat ne Gujrat hukoomat ko 2 hafton mein muawza dene ki hidaayat di thi lekin hukoomat ne ab tak Bilkis Bano ko muawza nahi diya hai. is liye woh dobarah adalat se rujoo hokar muawza dene ki appeal ki. jis par adalat ne reyasti hukoomat ko 2 haftoun ke andar Bilkis Bano 50 laakh rupay ka muawza dene ki hidaayat di hai.

Godhra saneha ke baad Gujrat mein hue fasadaat mein Bilkis Bano ke khandan ke kayi arakeen ko fasadiyon ne mout ki neend sulayi thi. Bilqis is waqt 5 mah ki haamla theen. fasadiyon ne iske sath ijtimai ismat raizi bhi ki thi. jab Bilqis ne police se karwai ki guzarish ki to police ohdedaron ne usay sangeen nataij bhugatnay ki dhamki dekar bhaga diya tha. –YTN STAFF