Hyderabad

Bijli ke mulazmeen ke liye 35% Pay Revision: KCR

By Abdul Aziz

September 01, 2018

Chief Minister KCR ne bijli ke shouba ke mulazimeen ke liye sarkari mulazmeen ke mumasil jame Health Scheme ka bhi elaan kya

Hyderabad. Chief Minister Mr. K Chandrashekar Rao (KCR) ne hafte ko riyasat ke tamam bijli idaron ke mulazmeen ke liye 35% Pay Revision ka elaan kya hai. Unhon ne sarkari mulazimeen ke khutoot par bijli ke shouba ke mulazimeen ke liye Jame Health Scheme ka bhi elaan kya. Pragati Bhavan mein bijli ke mukhtalif shoubon se talluq rakhney walay mulazmeen ke aik ijlaas se khitaab karte hue mulazimeen ki khidmaat ki satayish ki ke un ki kaawishon ke baayis nau tashkil shuda riyasat Telangana mein bijli ke bohraan par khabu paney mein paheli kamyabi haasil hui hai. Unhon ne kaha ke qaleel muddat mein hum ne tamaam shoubon ke liye 24 ghantay bijli ki farahmi ko yakeeni banaya hai. Mr. Chandrashekhar Rao ne kaha ke hum ne Pay Revision Commission se tankhwahon par nazr e saani ke baaray mein tabadlah khayaal kiya jis par 22 taa 24 feesad izafah ki tajweez saamne aayi. MR. KCR ne bataya ”mein ne Prabhakar Rao (Sadarnashin o Managing Director Genco & Transco) se poocha ke pichli martaba Pay Revesion kitna kya gaya tha to unhon ne bataya ke 30 feesad, mera khayaal hai ke pichli martaba jitna diya gaya tha is se kam nahi ho sakta. Phir mujh se 32% izafah ki sifarish ki gayi. Mein 35% izafah ka elaan kar raha hon.” Unhon ne kaha ke maujooda Health Scheme jo 3 lakh tak tibbi ikhrajaat bardashat karti hai aur khidmaat ke douran mazeed adayigyon ka imkaan nahi rehta hai is par nazar e saani ki zaroorat hai. Unhon ne kaha ke woh Prabhakar Rao aur deegar ohdedaron se kahe hain ke woh aik azadana Health Scheme waza karen jis mein masarif par kisi qisam ki tahdeed na ho. Yeh scheme aap aur aap ke arkaan e khandan ke liye tamaniat bakhash hogi. Unhon ne yeh bhi kaha ke bijli ke idaron ka intezamia bill collectors ki khidmaat ko baqaida bananay ke masla ka bhi jayeza le ga jo is waqt contract asaas par kaam kar rahay hain. Is mouqe par Chief Minister ki dukhtar wo Rukn Parliament Nizamabad Mrs. K Kavita aur bijli shoubon ke aala ohdedar bhi maujood thae.