India

Bihar mein NRC ka sawal hi pida nahi hota: Nitish

By News Desk Roman Urdu

January 14, 2020

Patna: Chief Minister Bihar Nitish Kumar ne qanoon sasiya ke khusoosi ijlaas ke douran kaha ke pooray mulk mein shehriat qanoon, NRC aur NPR par ehtijaj ka silsila jari hai lekin mein reyasti awam ko yaqeen dilana chahtahoun ke Bihar mein NRC ka koi sawal hi nahi hai. Assembly mein speaker Vijay Kumar Chaudhary ne SCST se mutaliq aaeni tarmeemi bill ko ittafaq raye se manzoor karne ka elaan kiya. Is ke sath hi SCST Reservation ko ek baar phir aglay 10 barsoun yani January 2030 tak ke liye nafiz hogaya.

Daren asna Nitish Kumar ne CAA ke maamla par Assembly mein khusoosi behas karwane ki baat kahi hai. Chief Minister Nitish Kumar ne Assembly mein kaha ke har is maamla par behas honi chahiye, Jis ki zaroorat ho aur jis ke mutaliq kisi ke zehen mein koi shak ho. Nitish Kumar ne kaha ke jis nuqta par allag allag raye aeye, Is par behas ki jani chahiye. Unhoun ne wazeh kiya ke NRC nafiz karne ka koi sawal hi peda nahi hota hai. Hum CAA par khusoosi tor par behas karen ge, Lekin NRC ka to sawal hi nahi hai. NRC ka koi juwaz nahi hai.

Nitish Kumar ne NPR ka tazkara karte hue kaha ke is mein kuch aur bhi pocha ja raha hai, Hum bhi chahtay hain ke is mauzo par behas ho. Agar sab logoun ki khawahish hogi to Assembly mein bhi behas hogi. Chief Minister ne is ke baad zaat par mabni mardum shumari ka bhi tazkara kiya aur kaha ke hum bhi chahainge ke zaat par mabni mardum shumari ho. Nitish Kumar ne kaha ke 1930 ke baad ek martaba phir zaat par mabni mardum shumari honi chahiye. –YTN STAFF