India

Bihar intikhabaat mein BJP ki zaat paat ki siyasat

By News Desk Roman Urdu

October 15, 2020

Patna: Is waqt Hindustan mein Bihar Assembly intikhabaat par siyasi leaders ke ilawa awam aur khaas kar BJP hukoomat ki mukhalif awam Policies se bezaar afraad ki nazrain markooz hochuki hain jabkay Hyderabad se talluq rakhnay wali MIM jis ke talluq se hamesha kaha jata hai ke woh deegar reyaston ki Assembly intikhabaat mein Muslim aur secular votes ki taqseem karte hue BJP ko faida pohanchati hai is ke rule par bhi sab ki nazrain markooz hochuki hain. Is ke ilawa BJP ne iqtidaar ke liye aala zaat ke votes par apni tawajah markooz karte hue nichli zaat ke awam ki himayat ke liye apni ittihadi partion se yeh kaam lena shuru kardiya hai.

BJP ne Bihar intikhabaat mein JDU ke sath mil kar maidan mein utri hai aur apni hikmat-e-amli ke tehat woh apne bunyadi vote bank ko kamzor nahi karna chahti. BJP ne apne umeedwaron ke intikhabaat aur votes ke husool ke liye apne bunyadi Vote bank aala zaat par tawajah deeni shuru kar di hai. Aala zaat ko khud raast tor par apni janib raghib karne ke liye is ne apna kaam khud kiya hai to doosri janib JDU ku nichale tabqay par towajjah dainay ki zimma daari sonpi hai. Is terhan dono partiyon ne aala aur nejle tabqay dono ke votes ko haasil karne ki hikmat-e-amli tayyar karli hai isi hikmat-e-amli ke tehat is ne ticket ki taqseem bhi ki hai aur Ashok Chaudhry ko riyasat sadar uboori sadar banakar dalit votes ki siyasat ki hai.

Bihar mein BJP is martaba poori terhan se zaat par mabni siyasat ka harba istemaal kar rahi hai jab ke yahi loog zaat paat ki mukhalifat ka dawwa bhi karte hain lekin un ki hikmat-e-amli wazeh kar rahi hai ke Bihar ki siyasat zaat paat ki bunyaad par hi horahee hai. BJP ne 35 umeedwaron ke naamon ka elaan kiya hai, Jin mein se 28 fi sad aala zaat ke leaders ko moqa diya ja raha hai taham BJP ne pehli fehrist mein 62 feesad aur doosri fehrist mein 48 fi sad ticket aala tabqay ke umeedwaron ko diya hai.

BJP ne apne Vote ki 110 nashiston mein se 50 ticket yani 45 feesad ticket aala zaat ke umeedwaron ku deye hain. BJP ne teesri fehrist mein 35 umeedwaron ke naamon ka elaan kiya, Jin mein 10 aala zaat aur 10 vishva umeedwar hain. Is ke ilawa 6 intehai pasmandah, 3 Tadav, 1 Kishva aur OBC tabqa ki 5 nashiston par umeed waar khaday kiye hain. BJP ne 29 umeedwaron ki pehli fehrist jari ki jis mein se 18 ticket aala zaat ki baradri ko diye gaye thay jis se zahir hota hai ke BJP ne Jaiswalon par khusoosi tawajah di hai. Declared umeedwaron mein BJP ne Raj votes, 5 Brahmin ko apne bunyadi vote bank ka istemaal karne ke liye 7 ticket diye hain. Doosri fehrist mein BJP ne 46 umeedwaron ke naamon ka elaan kiya jis mein 22 aala zaat ke umeedwaron ko maidan mein utaar gaya hai.