Hyderabad City Police ki janib se itwaar ki dopehar ko Bibi ka Alam juloos ke douran lockdown hidayat namay ki khilaaf warzi par aur deegar 6 muqadmaat darj kiye. Bandobast Duty par mojooda police afsaraan ki taraf se Mir Chowk Police Station, Chadharghat Police Station, Ren Bazaar Police Station, Dabeerpura Police Station, Aur Charminar police station ke hudood mein juloos mein lockdown ki khilaaf warzyon par ghhor kiya gaya tha.
City police ne Disaster Management Act 1950, Wabai amraaz Act 1897 ke tehat muqadmaat darj kiye hain aur reyasti hukoomat ne ehkamaat ki khilaaf warzi karne walay afraad ke khilaaf Covid-19 wabai marz control protocol jari kiya hai.
Wazeh rahay ke 10 Moharram Al Haram Yom-e-Ashora burrows itwaar Bibi ka Alam Dabeerpura Bibi ka Alawa se nikala gaya tha, Jis mein hazaron ki tadaad mein loog jama huve they.
Hyderabad City Police ne kisi bhi nakhushgawaar waqeye se bachney ke liye wasee intizamaa kiye they.
Covid-19 Guidelines ke mutabiq juloos mein is saal hathi ki ijazat nahi thi, Taham Bibi ka Alam ko DCM gaadi par le jane ki ijazat di gayi.
Juloos Dabeerpura Bibi ka ilawa se nikaltay hue Yakhutpura, Charminar, Gullzar House, Mir Alam Mandi, Darulshifa se guzarte hue Chadarghar par ekhtataam pazeer huwa.
Aala adalat nay guzashta haftay ki terhan Moharrma ke juloos ki salana riwayat ko jari rakhnay par dair darkhwaston par ejazaton se inkaar kardiya tha jahan ek baradri ke loog Hyderabad ke ek ilaqay se dosray ilaqay mein’ Alam’ ya’ Tazia’ le kar jatay hain aur usoolon ki khilaaf warzi karte hain.