Kolkata: Maghribi Bengal ki hukmran Trinamool congress ne jumaraat ko Assembly ke zimni intikhabaat mein tenun nashistoun par kamyabi haasil ki. Unhoun ne Karimpur ko bar qarar rakha aur Kaliaganj aur Kharagpur ko apne mukhalfien se chean liya. Jabkay Bhartia Janta Party ke liye ye intikhabaat mayooskun raha, kyun kay party na sirf apna khatah kholne mein nakaam rahi, Balkay 2 nashistoun,Kaliaganj aur Kharagpur se bhi haath dho baithi.
Congress aur baen mahaaz ke ittehaad mein bhi khalbali much gayi, Jis ke umeedwaroun ne 25 November ko hone walay zimni intikhabaat mein tenun nashistoun ke liye apni zamanat ki raqam jama kary thi. Nataij ki bunyaad par, Wazeer-e-Aala Mamata Banerjee ne usay, ma, mati, manush ( Maa, zameen, aur log. Trinamool congress ka mashhoor naara ) qarar diya aur usay awam ke liye waqf kar diya.
Mamata Banerjee Kaliaganj aur kharakpur sadar ki nashistoun ki kamyabi par khush the, Jo 1998 mein party ke qiyam ke baad se kabhi bhi kamyabi haasil nahi kar saki thi. Ginti ke ibtidayi daur mein BJP ko peechay karne ke baad, Trinamool congress ne Kaliaganj mein wapsi ki, Jahan is ke umeed waar Tapan Deb Singha 2,414 Votes ke farq se fatah haasil ki. Bhartih Janta party ke kamal Kamal Chandra Sarkar dosray, jabkay baen baazu mahaaz ki himayat Yafta congress ke Dhitasree Roy teesray number par rahay.
Kharakpur sadar mein utaar, chadhao ki ladai ke baad, Trinamool congress ke umeed waar Pradip Sarkar ne apne qareebi hareef BJP ke Prem Chandra Jha se 20,853 Votes ke farq se kamyabi haasil ki.
Baen mahaaz ki himayat Yafta congress umeed waar Chittaranjan Mondal, is nashist par sirf 14.8 feesad vote haasil kiye, jo kabhi reyasti BJP ke Dilip Ghosh ke liye party ka gadh tha. Is saal ki shuruvaat mein Ghosh Midnapore halqa se Lok Sabha ke liye muntakhib hone ke baad, Maghrib Midnapore zila mein chala gaya. Karimpur mein Trinamool ke Bimalendu Sinha Roy ne apne qareebi hareef reyasti BJP ke naib saddar Jay Prakash Majumder ko 24,000 se ziyada Votes se shikast di –YTN STAFF