Riyadh: Mutaliqa sarkari idaray ki janib se mumlikat Saudi Arab mein qaim tamam Beauty Parlors ke liye Saudi khatoon Manager ki shart ayed kar di gayi hai. Aindah har Beauty Parlor mein Manager Saudi khatoon ka hona laazmi kardiya gaya. Pabandi lagai gayi hai ke khatoon Manager ko Beauty Parlor mein baqaida Duty dena hogi. Ye tarmeem Saudi kabeena ki janib se Beauty Parlors ke qanoon ki dafaa 9 mein tarmeem ka nateeja hai.
Tarmeem ke mutabiq tay kiya gaya hai ke Beauty Parlor ke auqaatkar qanoon mehnat aur is ke qawaid o zawabit ke mutabiq muqarrar kiye jayen. Khawateen ke rozgaar se mutaliq wazarti faisloun ko mad e nazar rakha jaye. Is zimn mein wizarat mehnat ki janib se kaha gaya hai ke Beauty Parlors ke malikaan ko chahiye ke wo jald az jald apne Parlors mein Saudi khawateen ko Manager ke tour par mutayyan karen.
Wazeh rahay mukhtalif shobo mein Saudization ke qanoon par amal daraamad ke liye qawaneen muratab kiye jarahay hain jin ka bunyadi maqsad ziyada se ziyada saudion ko rozgaar ke mawaqay faraham kiye jayen.