Hyderabad

Basti Dawakhanoun mein juz waqti doctoroun ki khidmaat ke husool ka faisla

By News Desk Roman Urdu

October 16, 2019

Hyderabad : kiya aap Dr hain aur ghareebon ki khidmat ka jazba dil mein rakhtay hain? to phir hyderabad ke Basti Dawakhanoun ke darwazay aap ke liye khulay hain. shaam ke auqaat mein apni khidmaat faraham karne walay Basti Dawakhanoun mein shehrion ke liye part time bunyadon par kaam karne ke liye 54 doctoron ko bharti kiya jaye. Fil haal, hyderabad aur hamsaaya medchal aur Rangareaddy azlaa mein 113 dawakhane kaam kar rahay hain. qabal azeen cilinic subah 9 bajey se shaam 4 bajey tak  chalaye jatay they, lekin shaam ki auqaat ke liye bohat si appeal ke baad, cilinic ab shaam saadhay saat bajey tak  aur is se agay chal rahay hain. yeh marakaz clinical out patient khidmaat muhaiyya karne aur pre primaray health care centers aur badi sahuliyaat ke liye shuru kiye gay they.

Fil haal, 20 khusoosi dawakhanoun mein maahir dr kaam kar rahay hain. dosray clinics ke mutalbe ke baad part time ki bunyaad par mazeed 54 doctoron ki bharti ki jarahi hai. guzishta roz yahan hyderabad collectrate mein chand doctoron ke interview liye gay hain. mahireen ki khidmaat ab nou shobo mein pesh ki jarahi hain, jin mein general medicine, pediatrics, psycology aur ENT sameit deegar shobay shaamil hain. Ek hafta mein do baar khidmaat faraham karne ki buniyad par un part time doctoron ki khidmaat haasil ki jarahi hain.

Ye tamam general dr umomi mualij honge aur yeh bharti aindah 2 din mein mukammal hojayegi. GHMC ke ek senior ohdedar neh kaha ke aam tibbi khidmaat ke shobay ko mustehkam karne ke baad dosray shobo ke doctoron ki khidmaat bhi mustakhil tour per hasil ki jayengi.

Iske alawa kuch ilaqoun mein amraaz niswan ki khidmaat ko mazeed behtar bananay ki bhi maang hai. unhon neh bataya ke ghareebon ki madad ke liye pehlay hi 15 maahir amraaz niswan ki bharti karne ki koshishen ki jari hain kyunkay ghareeb khawateen jo khangi dawakhanoun rukh karne ki muthammil nahi hain unke liye tajurbah-car doctoron ki khidmaat faraham karen. alawa azeen beshtar doctoron ko tankhwa ke mutaliq khadsha tha lekin ab woh part time Dr ki haesiyat se kaam karne ke liye mahana 40 se 45 rupay maang rahay they. ohdedar neh kaha ke un tankhwahon ke baraks hum aisay doctoron ki talaash kar rahay hain jo turst ke sath kaam karte hain ya ghareebon ki khidmat ke liye pur-azm hain. –YTN STAFF