Hyderabad

Basti Dawakhano Ka Amlah 3 Mah Ki Tankhwahon Se Mahroom, Awam Ko Bhi Masail Ka Saamna

By News Desk Roman Urdu

April 17, 2019

Hyderabad: Awam ko bunyadi medical sahuliyaat faraham karne ke liye Hyderabad mein teen mah qabal Basti Dawakhano ka qiyam amal mein aaya tha jahan rozana kayi mareezon ko ibtidayi tibbi imdaad aur tashkees ki sahuliyaat faraham ki jati hain lekin un bastii Dawakhano mein awam ke liye apni khidmaat anjaam dainay walay tibbi amlay ke masail roz baroz sangeen ho rahay hain jaisa ke January mein un basti Dawakhano mein tibbi amlay ka intikhab amal mein aaya lekin teen mah se inhen tankhwahein nahi di gayi hain .

Is zimn mein apni shanakhat posheeda rakhnay ki shart par ek medical officer ne kaha ke guzashta teen mah se tankhwahein nahi di gayi hain jis ki ek tehreeri shikayat principal secretary Shanti Kumari ko di gayi hai lekin aindah do hafton tak bhi is masla ki yaksoi mumkin nahi kyunkay principal secretary fil haal mulk se bahar hain aur unki wapsi aindah do hafton ke baad hi hogi. doosri janib principal medical health officer Dr Jay Venkat ne tamaniat di hai ke aindah chand dinon mein tibbi amlay ki tankhwahin bank account mein faraham kar di jayen gi. unhon ne kaha ke online takneeki masail ki wajah se tankhwahin faraham nahi ki ja saki hain lekin jald az jald is takneeki khaami par qaboo pa liya jayega aur tankhwahin faraham kar di jayen gi . Yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke shehar hyderabad mein basti Dawakhano ka qiyam darasal Dehli mein mohalla cilinic ki kamyaab tajurbay ke baad Telangana hukoomat ki janib se kiya jaanay wala iqdaam hai, jis ke tehat har 10000 awam ke liye ek basti dwakhane ka qiyam amal mein laya gaya hai. basti dawakhane mein bunyadi tibbi sahuliyaat, lab mein Tashkees aur muft duwaein faraham ki jati hain, jahan rozana 70 taa 80 mareez un Dawakhano se rujoo hotay hain .

Hukkaam ne mazeed kaha hai ke shehar hyderabad mein basti Dawakhano ke kamyaab tajurbay ke baad ab is tarha ke dawakhana Warangal, kareem nagar, Nizaamabad, Khamam aur Rama gandam mein bhi qaim kiye jayenge. alawa azeen Tolichowki ke basti dawakhana ki Dr Ayesha jo ke medical officer hain, unhon ne basti dawakhana ke masail par izhaar-e-khayaal karte hue kaha ke amlay ki tankhwahin guzashta teen mah se ada nahi ki gayi hain jabkay basti dawa khanaay mein pani aur bijli ka masla bhi din bhar mojood rehta hai. yahan adwiyaat ki Adam dasteyabi ki wajah se kayi mareezon ko ilaaj ke liye rujoo honay ke bawajood dawaon ke baghair mayoos wapas jana pad raha hai. unhon ne hukkaam ki tavajjo is janib mabzol karwai hai ke woh basti Dawakhano ke amlay aur imarat mein mojood dakhli aur kharji masail ki yaksoi fouri tor par karen .- YTN STAFF