London : Bartanwi parliment ke Dar-ul-awam ne mulk mein qabal az waqt intikhabaat ke bil ko Manzoor kya hai jis ke tehat 12 decemeber ko intikhabaat munaqqid honge. yeh bil Europi union ke is faislay ke chand ghantay baad Manzoor kiya gaya jis mein union ne Bartania ko’ Brexit ke liye aglay saal January ke ekhtataam tak ki mohlat di hai. qabal azeen Bartanwi wazeer-e-azam Boris Johnson ne kaha tha ke Brexit ki takheer par ta-attul ko khatam karne ke liye naye intikhabaat karaye jayen.
Bartanwi daralawam ne qabal az waqt intikhabaat ke haq mein 438 arkaan ne vote diye jabkay sirf 20 ne is ki mukhalfat ki. agar yeh bil parliment ke house of lard se bhi Manzoor hota hai to yeh 1923 ke baad pehla mauqa hoga jab mulk mein decemeber ke mahinay mein intikhabaat munaqqid honge.
Tafseelaat ke mutabiq Bartania mein guzashta 4 barson ke douran qanoon sazoon ne teesri baar naye intikhabaat karanay ke haq mein vote diye hain. naye intikhabaat wazeer-e-azam Boris johnson ke liye jo kham honge jin ki knzroyto party ki hukoomat aqliat mein hai taham 2 haftay qabal unki janib se Europi union se nikalne ke liye rakhi gayi sharait ko parliment ki janib se mustard kiye jane ke baad ke paas koi dusra raasta nahi tha.
Rawan baras May mein Europi union se niklne ke liye Brexit moahida mein nakami par knzroyto party ki wazeer e azam theressa may ne apne ohday se istifa day diya tha jis ke baad darulawam mein party arkaan aur itihadiyon ne boris johnson ko naya wazeer e azam muntakhib kiya tha. boris johnson ne elaan ne kya tha ke wo har soorat 31 october tak Europi union se nikal jayenge khuwa koi brexit moahida ho ya na ho. –YTN STAFF